very nice
Hum kahin aty hain wahis tere bahkane main
Is mahkhane ki mitti ishi mahkhane main
Apna afsana_e_hasti zara parh kar dekho
Mera afsana mile ga tere afsane main
Kab talak laash riwajoun ki uthaye phirty
Lo inhain dafan kiye detye hain pahimane main
Hum ko mita sakye yeh zamane main dam naheen
Hum se zamana khud hay zamane se hum naheen
Ab tak jiye to khaak jiye ab jiyeen ge hum
Hum to sharab pine lage yun piyeen ge hum
Saqi jo tuut jaye yeh sikasam naheen
Hum ko mita sakye yeh zamane main dam naheen
Khud hans k aaj sab ko rulane chale hain hum
Barbadiyon ka jashn manane chale hain hum
Duniya ko ho to ho haumain ab koy ghum naheen
Hum ko mita sakye yeh zamane main dam naheen
Mujrim hain hum samaaj k hum ko saza mile
Badla guhnahgaar to kuch to KHUDA mile
Bigre huwe naseeb main yeh bhi sitam naheen
Hum ko mita sakye yeh zamane main dam naheen
Hum se zamana khud hay zamane se hum naheen !
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
very nice
nicee...
My prayer, my offering, my life and my death are all for Allah SWT, the
Lord of all the worlds..
پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا