Results 1 to 3 of 3

Thread: Muhabat Khalil Jibran Ki Nazar mein....

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    342
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Muhabat Khalil Jibran Ki Nazar mein....

    Gulsh e Zeest mei siraf muhabat hi aik phool hai, jo bahar ka mohtaj nahi. Is ki namo aur shaguftagi, khizan o bahar se beniyaz hai.

    Muhabat Sanobar ki shakhon ki tarahain dil se shakh dar shakh phot-ti hai, aik shakh toot jane se baqi shakhein maghmom zaror hoti hain, magar apna wajood nahi kho detein, balke toti hui shakh ko pori tawanai 0 muhabat se seenchti hain. aur phir kuch hi deer baad wahan se aik nai koonpal phoot nikalti hai.

    Jab tum kisi se muhabat karte ko to use azad chord do...! agr woh loot aye to us ki parastish karo, aur agar wapis na aye to samjho k woh kabhi tumhara howa hi na tha.

    Muhabat aik Norani kalima hai jise norani hath se norani kaghaz par likha hai.

    Abdiyat siwaye muhabat k kisi shy ko dawam nahi bakhshti, har cheez ka khandar hona te hai siwaye muhabat key.....

    shak ka tufan, aur bad-gumani ki baraf muhabat k phoolon ko fanah kar sakte hain magar beej nahi mar sakte...
    Last edited by Hidden words; 11-09-2012 at 09:55 PM.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Default Re: Muhabat Khalil Jibran Ki Nazar mein....

    zberdast

    bht khoobsorat theerie'n hain

  3. #3
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Muhabat Khalil Jibran Ki Nazar mein....


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •