Yateem par raham karna
Huzoor Nabi kareem S.A.ne irshaad farmaya k jo aadmi kisi yateem ladke ya ladki k saath neki ya bhalai se pesh aata ho Mai aur woh dono jannat may paas paas hoge jis tarah mere hath ki ye do ungliya qareeb qareeb hai(dast mubarak ki do ungliya milaaker ishara farmaya.)
Hazrat Abu Hurairah R.A.se rivayat hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya musalmano k gharo may sab se behtar ghar wo hai jis may koi yateem ho aur is k saath acha saluuk kiya jata ho aur musalmano may sab se badtar ghar woh hai jis may koi yateem ho aur is k saath bura saluuk kiya jata ho.
Yateem ki parwarish.
Hazrat Auf Bin Maalik R.A. farmate hai k Rasool S.A.ne irshaad farmaya hai k Mai aur syaah rukhsaaro wali aurat qayamat k din is tarah hoge.(Yazeed Bin zari' is hadeeth k ek ravi ne darmiyani aur shahadat ki ungli ki taraf isharah kar k bataya k jis tarah ye ungliya qareeb qareeb hai is tarah Aap aur woh aurat qayamat k din qareeb qareeb hoge ) aur syaah rukhsaaro wali aurat ki tashreeh karte huey bataya k is se muraad woh aurat hai jis ka shohar mar gaya ho ya is ne talaq de di ho aur woh aurat jaah wa jamaal rakhti ho lekin is ne yatem bachcho ki parwarish k khayal se doosra nikah na kiya ho aur apni khwahishaat ko roka ho, yaha tak k is k bache jawan ho kar is se juda ho gaey ho ya mar gaey ho.
Allah hum sabko nek hidayet dain.Aameen