Mousiqi se hamein tab se lagao hai jab se ham naye naye hostel mein aaye thay.....is ki waja yeh thi ke wahan bath room mein kundiyan nahi thin tou nahatay waqt hamein musalsal gatay rehna parta tha takay bahar walon ko pata chalta rahay ke andar koi hai.
Hostel ka pani bhi mausam ke mutabiq hota tha....yani germion mein garam aur serdion mein sard.
so sur bhi usi hisab se nikaltay thay.
sahafat mein aa ker jab bhi kisi ka interview kia, gulukaar se pehla sawal yehi kia.
"aap ke bath room mein kundi thi ya nahi"?
Aur kuch log to paida hotay hee gatay hein. unki aawaz sun ker maloom hota hai ke koi paida hua hai.
Ustad Nusrat Fateh Ali Khan marhoom kaha kertay thay ke mere baap ki khuwahish thi ke mein
ro-oon bhi sur mein, agar mein sur mein na ro-oon to dant parti thi....aur Mehdi Hasan to aisau sur mein rotay thay ke waledain(parents) chup karanay ke bajaye unhein sunnay baith jatay thay.
Albatta Ataullah Khan Eisa Khailvi ki waleda(mother) unhein foran chup kara deti thi.
Is tarah hamaray aik pop singer ko jab pehla gana ganay ke ewaz producer ne 20 rupay diye tou woh bolay.
"Producer sahab! is se zyada tou meri waleda mujhe chup honay ke deti thin".
BOOK: Mizaj Pursi
WRITER: Dr. Younus Butt