InsaN apni Zindagi main jo kuch bhi Karta hai woh daulat k liye nahi karta ...balke asal main woh sab sirf izzat hasil karne k liye karta hai,apni izzat k liye.......
Kion k usey pata hota hai k jab us K pas dolat aye gi to woh gari main baithe ga, ameer ho ga paise wala ho ga sab usay salam karein ge us k sath koi badTameezi nahi karein ge .
aur yehi wajah usey har tarah ka ghalat kam bhi karva deti hai.... takey woh kisi tarha itna kama le k us ki Muashre main log izzat Karen.......hum Log kion na logon ko bina paise ke iZZat dena Shuru kar den to muashre main burey kam hona band hojaye ge...
K Jis iZZat k liye itne bure kam kar rahe hein ...jab woh bina paise k hi mil rahi hai, to kia zaroorat hai ulte seedhe Tareeqe se paise kama k izzat karvane ki ......logon ko izzat do kion k insan k liye roti, kapra nahi sab se zaroori
cheez iZZat'e nafs hai.
Umeed hai aap sab ko mera yeh Intekhab Pasand aya hoga.
Tehreer : Ishfaq Ahmed From Zaviya