Jese hee Nayee ne mere sir pai astura phairna shuru kia ......mujhai sukoon sa agaya. Tind karvana mere liye hamaisha baa-isey Itmenan Raha hai ................jese jese astura mere sir pai phirta jata hai mujhai apna aap halka phulka lagne lagta hai , mai tind is liye nahi karvata ke is se sir ko hava lagti hai balke mai ne note kia hai ke tind karvane se mera sir , mou sey acha nikal aata hai.abba ko meri tind sey buhat chir hai ,unke bas mai ho to woh dunya bhar ke astaron pai zang lagva dain,agarcha unhai tind ka koi shoq nahi laikin qudrat ne unke sarey baal ura diye hain...abba ki itni ghani tind dekh kar mere mou se raal tapakne lagti hai aur mai sochta hoon ke kaash mera sir bhi aisa smooth hojaye .mujhai yaad hai ke jab mai chota hota tha to abba ke sir pai chapat maarne ka bara maza aata tha, bilkul aisi awaz aati thi jese table ke tirkit se aati hai. laikin joon joon mai bara hota gaya , abba ka sir mujh se door hota chala gaya aur phir aik waqt aisa aaya ke ikhlaqi aitebaar se abba ke sir par chamat maarna merey liye jurm-e-zaeefi qarar paaya.inhii dino mai ne faisla kia ke ab mai abba ke sir par inhesaar karne ki bajaye apne sir par khud khara honga.........youn mai ne khud inhesaari ki policy par amal karte hoye pehli dafa tind karayee.
From : Tayen Tayen Fish
Written by Gul Nokhez akhtar