Quote Originally Posted by zain View Post
bahot khoob Hijab saahiba,achhi koshish rahi yeh aap ki,
radeef to aap ne jaan liya ke aek sheir main radeef badal gaya hai,lekin qaafiya par kon sochey ga,
aap ne is ghazal main qaafiya ka bilkul khayaal naheen rakha,yeh achhi baat naheen,ghazal main teen cheezain,bahot zaroori hai,radeef,qaafiya,aor behar,(wazn),behar par to ham ba.ad main baat karain ge,jab us ka mazmoon post ho ga,lekin radeef aor qaafiya to ab aap jaanti ho,
chalain jaldi se aek aor ghazal likh daaliye,aor us main radeef aor qaafiya ka khayaal bhi rakhiye ga,
bahot khush rahiye,
Assalamo-Alekam Janab!
Hum aap ki baat bilkul samjh rahey hein, hum radeef aur qafiya mein kuch had tameez ab ker letey hein!
LEKIN, yahan per aik sawal hai!
Yeh Nasir Kazmi Sahab ki aik ghazal hai:
apni dhun mein REHTA HOON
mein bhi tere JAISA HOON
oo pichli rutt kay saathi
ab kay baras mein TANHA HOON
is ghazal mein REHTA & JAISA qafiya ho ga
aur HOON, HOON radeef
my question is kay kia radeef ka DOU ALFAAZ hona shart hai
kyon kay is ghazal kay mutabiq, tou sirf last dou words her shair mein similar hein, tou woh kia hon gey, qafiya, radeef, both???
isay explain ker dein please!