WASIF ALI WASIF KEHTAY HAIN--------
*jab tak koshish kii mehroomiyaan samajh mein na aaein, naseeb ko samjha nahein ja sakta
*achay amal kii yaad ko ek bura lafz hamesha k liyey tabaah kerdeta hay.
*mohabbat k musafirr, raastay mein nafrat ka parao nahein daltay
*zindagii k jawaaz talaash nahein kiyey jatay, sirf zinda raha jata hay.zindagii guizartay chalay jaein, jawaaz mill jaeyga
*aawaaz insaan ko doosray say mu,ta,aaruff kerwatii hay aur khaamoshii insaan ko apnay aap say mu,ta,aaruuf kerwatii hay.
*taraqqii, khoobsoorat asason ka naam nahein, bal-k ye to ek khoobsoorat ehsaas ka naam hay.