Page 1 of 11 123 ... LastLast
Results 1 to 10 of 103

Thread: shairy seekhiye, sabaq 2

  1. #1
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default shairy seekhiye, sabaq 2

    ASLAAM O ALEKUM,
    Hasb-e-wa.ada Shaairy seekhiye ke doosarey mazmoon ke saath haazir hoon,umeed karta hoon ke yeh mazmoon bhi aap ke liye kaar aamad saabat ho ga,

    jin dostoN ne pehla mazmoon miss kar diya hai,woh neechey diye gaye link par click kar ke woh mazmoon paR saktey haiN,

    link yeh raha......

    Shairy seekhiye,sabaq 1. - .:.Sachii Dosti Community.:.

    shuroo kartey hain aaj ka yeh mazmoon,
    bahot khush rahiye,aabaad rahiye,

    tutorial2p1 - shairy seekhiye, sabaq 2
    tutorial2p2 - shairy seekhiye, sabaq 2
    tutorial2p3 - shairy seekhiye, sabaq 2
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  2. #2
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    Walekam-Aslam
    Bohat umda Zain Sahab!
    MASHALLAH, sikhanay ka andaza bohat he saada aur asan feham hai!
    Baar baar parnay aur samjhnay kay baad INSHALLAH bohat achi taran seekh jayen gey!

    Question:
    "Kia WAZAN(behar) ko baad mein explain karein gey?"
    I mean kay apnay aglay mazameen mein!

  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    Walekam-Aslam
    Bohat umda Zain Sahab!
    MASHALLAH, sikhanay ka andaza bohat he saada aur asan feham hai!
    Baar baar parnay aur samjhnay kay baad INSHALLAH bohat achi taran seekh jayen gey!

    Question:
    "Kia WAZAN(behar) ko baad mein explain karein gey?"
    I mean kay apnay aglay mazameen mein!

    bahot shukriya Hijab saahiba,is hosala afzaayi ke liye,
    ji haan,INSHA ALLAH, zindagi ne saath diya to agla mazmoon behar/wazn,aor taqtee ke baarey main ho ga,

    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  4. #4
    Join Date
    Apr 2008
    Posts
    199
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    683045

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    bohat khoob zain .. bohat achha tutorial hai .. umeed hai ham sab bohat kuch seekhain gay .. kion kay sikhany wala aap jasia ho to jahil say jahil bhee bohat seekh jaye ga .. ham to phir mashaAllah kafi zaheen hain

  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    ji ustad ji me nay perh liya hai....



    wo behar kaya hota hai


    or jo azaad nazam hoti hai....us main b lafz milnay chahiye means k nazam main kahin kahin...lafz hum wazan honay chahiye kaya...jisay milyan rolayien bataien....etc?


    me hemsha nazamien he likhti hon..so ap ka yeh lesson me ko buhat acha laga..
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - shairy seekhiye, sabaq 2

  6. #6
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    Quote Originally Posted by zeest View Post
    bohat khoob zain .. bohat achha tutorial hai .. umeed hai ham sab bohat kuch seekhain gay .. kion kay sikhany wala aap jasia ho to jahil say jahil bhee bohat seekh jaye ga .. ham to phir mashaAllah kafi zaheen hain

    bahot shukriya Zeest saahiba,
    bas ab jaldi se is mazmoon ko hifz kar lijiye,
    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  7. #7
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    Quote Originally Posted by ~*Dua*~ View Post
    ji ustad ji me nay perh liya hai....



    wo behar kaya hota hai


    or jo azaad nazam hoti hai....us main b lafz milnay chahiye means k nazam main kahin kahin...lafz hum wazan honay chahiye kaya...jisay milyan rolayien bataien....etc?


    me hemsha nazamien he likhti hon..so ap ka yeh lesson me ko buhat acha laga..
    bahot shukriya Dua saahiba,

    behar.....fiqrey,ya misrey ki us makhsoos lambaayi ko kehtey hain,jis ke mutaabiq,ghazal,sheir qitta,ke baaqi sab misrey kahey (likhey) jaatey haiN,
    aap ko bahot aasaan alfaaz main samjhaaun to ,yoon kahoon ga ke.....jab ham koyi misra,ya jumla,ya fiqra likhtey hain to us ki jitni lambaayi hoti hai,us ko misrey ka wazn,ya behar kehtey hain,aor phir us ghazal,ya nazam ke baaqi tamaam misrey ussi lambaayi ke mutaabiq likhtey hain,INSHA ALLAH agla mazmoon issi ke baarey main ho ga,so aap is mazmoon ko baghor paRiye,samjhiye,INSHA ALLAH agley mazmoon main aap ko behar/wazn bhi samajh aa jaaye ga,

    aazaad nazam ki jo ta.areef mazmoon main likhi hai,us ko baghor paRiye,ussi main 2 mukhtalif misaalain bhi di haiN,un par bhi ghor kijiye,aap bahot aasaani se samajh jaayain gi,
    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  8. #8
    Join Date
    Apr 2008
    Posts
    199
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    683045

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    Quote Originally Posted by zain View Post

    bahot shukriya Zeest saahiba,
    bas ab jaldi se is mazmoon ko hifz kar lijiye,
    bahot khush rahiye,


    haan jee hifz to ho gaya hai abb sawalon ka intizaar hai

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    me nay perh liya hai

    a gayi hai me ko samhj...


    ab me say sawal poucho zara ..
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - shairy seekhiye, sabaq 2

  10. #10
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    not on streets, obviously!! LOL
    Posts
    6,514
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    32 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Default Re: shairy seekhiye, sabaq 2

    ustad ji, aapka mazmoon samjhnay mein be-hadh assani rahi hai

    aap nay bohat achay aur asaan tareeqay say samjhaanay ki koshish ki hai

    mera sawal jo azad nazam k baray mein tha wo toh khair meri jurwan behn Dua nay pooch liya hai jawab k liye be-hadh shukriya

    mera rujhan khas tor par nasari aur azam nazam pe hota hai. iss hawalay say mera aik sawal yeh hai k:

    kiya nasari nazam ki hadood muqrarr hein? mera matlab hai k nasari nazam ki lambai kitni honay chahiye?

    bohat shukriya
    ranisrequest - shairy seekhiye, sabaq 2

Page 1 of 11 123 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •