Meri bazm e dil tou ujer chuki,
mera farsh e ja tou simat chuka,
sabhi ja chukay meray ham nasheen,
ma ger ek shakhs gaya nahi,
dar o bam sab ne saja leye,
sabhi roshni mei naha leye,
meri ungliyan tak jhulas gaen,
Mager,
ik chiragh jala nahi,
pas e carvan!
Ser e rahguzer!
main shikasta pa hon tou ise leye,
k qadam tou sab se mila leye,
mera dil kise say mila nahi,
teri rehmaton k deyar mei,
teray badlon ko khaber nahi,
abhi aag serd howi nahi,
ik allaow bujha nahi.
gham e zindagi teri rah main,
shab e arzo teri chah main,
jo bicher gaya wo mila nahi,
jo ujer gaya wo basa nahi,
mera humsafer bhi ajeb tha,
aur ajeeb ter hon mein bhe,
mujhay munzilo ki kaher nahi,
osay raston ka pata nahi.