Hum mashriq ki lerkian bi ajeeb hoti hain. Mohabbat shaid humare bas ka rog nahi, humara khoon-o-khameer shaid is jazbe k lie mozon nahi. Hum mohabbat ker bi lain to usse nibhana mushkil aur agr nibha lain to zindagi guzarna mushkil - Mohabbat main hone wali wo lamha berh ki laghzish' wo aik pal ki khudgerzi "muje apni mohabbat hasil kerni hai kisi bi qeemat per" wo phir humain na jeenay daiti hai' na mernay daiti hai.. Phir wo mohabbat jo hum ne boht ler'r ker aur dunya se takr'r le ker hasil ki hoti hai, humain apna sab se bara gunah nazr aane lagti hai...Aisa gunah jis per hum uthtay' baithtay' sotay' jagtay her pal shirminda hote hain....Hum mohabbat k beghair reh saktay hain' magar KUDH se wabasta Rishton aur Mohabton k beghair zindagi guzar hi nahi saktay.
Farhat Ishtiaq