-
mohabbat
Hum mashriq ki lerkian bi ajeeb hoti hain. Mohabbat shaid humare bas ka rog nahi, humara khoon-o-khameer shaid is jazbe k lie mozon nahi. Hum mohabbat ker bi lain to usse nibhana mushkil aur agr nibha lain to zindagi guzarna mushkil - Mohabbat main hone wali wo lamha berh ki laghzish' wo aik pal ki khudgerzi "muje apni mohabbat hasil kerni hai kisi bi qeemat per" wo phir humain na jeenay daiti hai' na mernay daiti hai.. Phir wo mohabbat jo hum ne boht ler'r ker aur dunya se takr'r le ker hasil ki hoti hai, humain apna sab se bara gunah nazr aane lagti hai...Aisa gunah jis per hum uthtay' baithtay' sotay' jagtay her pal shirminda hote hain....Hum mohabbat k beghair reh saktay hain' magar KUDH se wabasta Rishton aur Mohabton k beghair zindagi guzar hi nahi saktay.
Farhat Ishtiaq
-
Re: mohabbat
-
Re: mohabbat
sahi.....asa hi hota hy ....
thanks 4 sharing
-
Re: mohabbat
bilkul ji bilkul...........aik iqtibas hai aik kahani kay
agar mujhe choose kernay ka mouqa diya jayeye tou mein mohabbat nahi mohabbtein loun ga, chahat nahi chahtein loun ga, aik rishta nahi balkay saray rishtey nibhayon ga!
very nice sharing!
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules