Results 1 to 6 of 6

Thread: Question : Compitition May 2009.....!!

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    candel Question : Compitition May 2009.....!!

    Asalam.o.Alaikum

    Phele bhi Yeh Competition Kiya Hai...yaha hum aik Question dai gia...ap ko iska answer karna hia ...jo ap behter samjhte hain wo...iske bad in asnwers ke bech polling hogi.jis ke answer ko zaida vote mile..wo winner hoga...Sawal Mohabbat se related he hoga.

    Rules:

    1.Aik member aik he bar jawab dai ga.
    2.kisi dosre members ke jawab per tanqed nahi ki jayegi..agar aisa kiya gaya tu post edit karde jaye gi.
    3.Apne jawab 21 May Tak is he thread main submit karsakte hain.


    Umeed hia app ko yeh silsila acha lage ga.


    Question :

    Mohabbat Main Lalchi Pun Ku Ajata Hai ?
    or zaida Bhot zaida Ki Chah Ku Hojati Hai ?
    Kiya Is Lalchi Pun Se Relations Main Farq Parta Hai ?
    Ya Is Lalach Ko Dosra Insan Qabool Karta Hai ?
    wo Bhi Bina Bezar Hue ?
    Ap Ka Nazerya Kiya Hai ?


    Tu jee yeh hai sawal..jis ka ap ko dena hia jawab.....

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Question : Compitition May 2009.....!!

    main ap k sawal say he agree nai hoon appo...muhbbat main lalach nai hota muhbbat main or zada chahay janay ki chah bharti hai bas...jis ko lalach nai kaha ja sakta...muhbbat ko barhanay ya or zada panay ki chah zaroor kaha jata hai....ap ko wo ik dafa keh day keh ap say buht muhbbat hai us ko...ap ka dil kerta hai yehi baar baar sunnay ko...dil kerta hai keh her waqt yahi iqrar ho...

    aisay he jab ap ko buht Muhbbat milti hai tu ap chahtay hain keh ais say b zada ho....yahi Muhbbat ki rawish hai....

    jis ko lalach nai kaha ja sakta....lalach wo hota hai...jis main ap ko sirf panay ki he chah ho keh bas mili jaye mili jaye or bas mili he jaye...return kuch na ho us ka....
    Last edited by ~*Rano*~; 07-05-2009 at 05:21 AM.
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Question : Compitition May 2009.....!!

  3. #3
    Join Date
    Feb 2009
    Age
    39
    Posts
    167
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    4 Thread(s)
    Rep Power
    16

    Default Re: Question : Compitition May 2009.....!!

    رومن کے لکھنے کا انداز ہر ایک کا جدا جدا ہوتا ہے میں اس کے مطابق ہی جواب دوں گا جو میں سمجھا ہوں
    شاعر کچھ ہوں کہتا ہے

    عقل اعیار ہے سو بھیس بدل لیتی ہے
    عشق بہچارہ نہ ملاں ہے نہ زاہد نہ حکیم

    اتنی عقل کام کرتی ہو تو محبت کرنے والا سچی محبت نہیں کرتا اسے محبت میں اپنی غرض معلوم ہے اور اسے اپنی میں کا خیال ہے
    محبت ادنیٰ و یا اعلیٰ اس کے لئے لازمی ہے کہ اپنی میں یعنی انا ،کو مار دیا جائے
    البتہ اس چیز کو لالچ نہیں کہا جا سکتا کہ محبوب اپنے حبیب کے لئے یہ خوائیش کرئے کے اسے میرے سوا اور کوئی نہ دیکھ سکے
    یہ تو رموز و اسرار محبت کا لازمی جز ہے

    جوآنسو کے رنگ لے آئے وہی دامن کا شہ پارہ

    Muhammad Qartaas Mirza ()
    :::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

  4. #4
    Join Date
    Feb 2009
    Age
    39
    Posts
    167
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    4 Thread(s)
    Rep Power
    16

    Default Re: Question : Compitition May 2009.....!!

    رومن کے لکھنے کا انداز ہر ایک کا جدا جدا ہوتا ہے میں اس کے مطابق ہی جواب دوں گا جو میں سمجھا ہوں
    شاعر کچھ ہوں کہتا ہے

    عقل اعیار ہے سو بھیس بدل لیتی ہے
    عشق بہچارہ نہ ملاں ہے نہ زاہد نہ حکیم

    اتنی عقل کام کرتی ہو تو محبت کرنے والا سچی محبت نہیں کرتا اسے محبت میں اپنی غرض معلوم ہے اور اسے اپنی میں کا خیال ہے
    محبت ادنیٰ و یا اعلیٰ اس کے لئے لازمی ہے کہ اپنی میں یعنی انا ،کو مار دیا جائے
    البتہ اس چیز کو لالچ نہیں کہا جا سکتا کہ محبوب اپنے حبیب کے لئے یہ خوائیش کرئے کے اسے میرے سوا اور کوئی نہ دیکھ سکے
    یہ تو رموز و اسرار محبت کا لازمی جز ہے

    جوآنسو کے رنگ لے آئے وہی دامن کا شہ پارہ

    Muhammad Qartaas Mirza ()
    :::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

  5. #5
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Question : Compitition May 2009.....!!


    Mohabbat Main Lalchi Pun Ku Ajata Hai ?
    lafz 'lalach' ya 'lalchi-pan' ka mohabbat mein koi wajoud he nahi hai. jis taran mohabbat mein ana, bay-hise, khud-garzi aur adawat ka koi kaam nahi hota, ise taran 'lalach' bhi mohabbat mein nahi hota.
    is lafz ki definition he aur hai, is mein aap ko kuch panay ki khawaish hoti hai, bina kuch diyey aur aap us cheez ko bina us ka +, - samjhay lena chahtey hein.

    jab k mohabbat mein lalach nahi balkay 'cha'hay janay ki chah' aur 'iqrar sun'nay ki talab' hoti hai. woh kehtey hein na k mohabbat ko hamesha iqrar ki zarourat hoti hai tou is taran jab aap kise say mohabbat kertey hein tou badlay mein mohabbat panay ki tamana khu-bakhud ho jaati hai, usay talab, chah, ummid, arzo, tamana tou keh saktey hein, lalach nahi.
    Kiya Is Lalchi Pun Se Relations Main Farq Parta Hai ?

    aur dosri baat k is taran rishtey mein kamzorri aa jaati hai tou mere khiyal mein yeh kamzoori tab aati hai jab aap ki 'talab' 'danay walay ki gunjaish say barh jaati' hai. ba-shak jo aap say mohabbat kerta hai us ka iqrar aap ko masroor kerta hai, lekin jab aap yeh expect karein k woh her waqat he izhar kerta rahay tou yeh kafi na-dani ki baat hai.
    or zaida Bhot zaida Ki Chah Ku Hojati Hai ?
    mohabbat k safar mein sharat yeh hai
    mukamil yeh safar na honay pa'ay
    chanay aur chahay janay ki khawaish fitri baat hai aur is mein hadein nahi hoti.
    mohabbtein tou faqt intehayen mangti hein
    mohabbaton mein bhala aitdal kia kerna
    so, is ka iqrar kernay mein aur sun'nay mein koi mazaiqa nahi hai, lekin jab is ki 'talab' ki limits aa ja'ay tou na-dan dil ko samjhna zaroori hai.
    Ya Is Lalach Ko Dosra Insan Qabool Karta Hai ?
    wo Bhi Bina Bezar Hue ?
    thak geya hoon mein kertey kertey yaad tujh ko
    ab tujhey mein yaad ana chahta hoon
    tou ji mohabbat mein jab banda equally committed hota hai aur dono taraf say contribution barabar ho tou is sheesha mein baal nahi aata
    lekin jab aap karein kuch na aur mangey bohat tou phir us shakhs ka bezar hona koi anookhi baat nahi hai.
    Her banda ka apna view hota hai aur woh mohabbat k liyey bhi sab alag alag appraoch rakhtey hein, lekin hamara tou yeh he kehna hai

    "bus aik mohhabt kafi hai
    baqi umar azafi hai"


    yeh aik nazam bhi hai, quite self-explinetory
    Muhabbat dukh nahin daiti

    agar bay gharz ho jazba

    agar manzil banay rasta

    agar chahat kay parday mein

    koi lalach na ho lipta

    agar tum sonp do sab kuch

    silay mein kuch nahin mango

    agar soda na ho koi

    Muhabbat bus Muhabbat ho

    tu phir yeh sukh hi daiti hai

    kabhi bhi dukh nahin daiti

    Muhabbat dukh nahin daiti


    __________________
    Last edited by Hijaab; 08-05-2009 at 08:59 AM.

  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Question : Compitition May 2009.....!!

    appo hijab ki ais poem main u k sawal ka ans hai..
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Question : Compitition May 2009.....!!

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •