me ko pata tha yeh he sawal kerna hai un nay
Asalam.o.Alaikum
Phele bhi Yeh Competition Kiya Hai...yaha hum aik Question dai gia...ap ko iska answer karna hia ...jo ap behter samjhte hain wo...iske bad in asnwers ke bech polling hogi.jis ke answer ko zaida vote mile..wo winner hoga...Sawal Mohabbat se related he hoga.
Rules:
1.Aik member aik he bar jawab dai ga.
2.kisi dosre members ke jawab per tanqed nahi ki jayegi..agar aisa kiya gaya tu post edit karde jaye gi.
3.Apne jawab 21 June Tak is he thread main submit karsakte hain.
Umeed hia app ko yeh silsila acha lage ga.
Question :
Kiya Waqie Mohabbat Rog Hai ?
Tu jee yeh hai sawal..jis ka ap ko dena hia jawab.....
me ko pata tha yeh he sawal kerna hai un nay
ku ?
pata nahi, bus pata tha............
mohabbat rog hai jana maan ga'ay
kha geya yeh wajoud ko deemak ki taran
**************
kahani roug-e-mohabbat ki bus itni hai
na kaam dua karay na dawa
**************
jitna bhulaya utna usay qareeb paya
yeh dil-lagi tou rog ban gaye
******************
mera personal khiyal hai k mohabbat roug hai kyon k yeh aik aise shay hai jo jab dil ko lag jaati hai tou is say chutkara pana bohat mushkil hota hai aur jis cheez say aap chutkara na paa sakein aur yeh dil mein lamha-ba-lamha panapti rahay tou isay roug he kehtey hein. mohabbat mein aisa muqam bhi aata hai jab is ki rangeniyan is ke wehshton say kam ho jaati hein. jab is mein qalbay-sakoon kam ho jaata hai. iztarab aur bay-chaini aa jaati hai. mohabbat ka ahsah jitna khush-kun hota hai utna he maghoom ho jaata hai. is roug ka koi hal nazar nahi aata. yeh ladwa ho jaata hai.
Last edited by Hijaab; 01-06-2009 at 10:45 PM.
Last edited by wick3d; 01-06-2009 at 04:37 PM.
wicked yeh ap ne khud likha hai ?
Hijab is question ka jawab nasr main dena hota hia...haan nasr ke bech agar ap koi nazam add karna chahey tu or baat hia ..leken sirf nazm se jawab nahi diya jaye ga...
isliye app is main nasr bhi add karo...or wicked app bhi ...
WalakiumSalam
Umm boht acha sawal kiya hai Naz Api
aur jitna acha sawal hai, utna hi mushkil aur uljha hua...is key kai bahao ho saktay hain, kai jawab aik hi jawab mein samaiye hue, aur phir bhi jawab mukamal nahi ho pata.
Shaid iska aik hi Jawab dey paon mein...MOHABAT jab mohabat hai to kisi aur shae ki gunjaish kab aur kaise nikal pati hai is jazbey mein...Mohabbat ko mehsos kerne main umer bita daina kam mehsos hota hai kuja key itni fursat ho dil mein utaray gaye is pyaray jazbay ko rog ka naam ley ker daghdar kiya jaye.
Daikhain simple si baat hai, hum mohabbat ko mohabbat nahi bojh, lahasil, nakaam naam ki cheezon sey tashbeeh dainay lagain to mohabbat Rog, karb , azeat kism ki cheezon mein dhalti mehsoos hoti hai...
Humari zehni approach bas itni hi had tak ja pati hai k jo sunein us per thapa laga dein key haan jee, aisa hi hai...
Mohabbat meri nazr mein kiya hai...
Mohabbat meri nazr mein sab kuch hai...aur Har shae hai..
Kainat key wajood mein..Zaray zaray mein
Ibadat..
Qurb-e-Khudawand..
Khushi..
Sakoon..
Itminan-e-qalab..
Umeed, Ahsas..
Apni zaat ko fana key morr per daal ker dosri zaat ko tarjeeh dainay wala jazba , wo jazba jo ibadat sey mumaslat rakhta hai...ROG kaise ho sakta hai?
Shayr kehta hai, Mohabbat Uljha Uljha Tajurba hai, to mera manna hai k mohabbat aik pur-keif jazba hai...mohabat diloon mein chupkey sey noor berh diya janay wala jazba hai..jo jis ko "haqeeqat mein mil jaye" wo sab pa ley...aur is mein meri murad insani qurb ki nahi, bas us mohabat nami jazbey ki dil ki saltnant mein hukmarani hai..khoob mein gardish hai.
Mohabbat jin diloon mein baseera kerti hai, wo dil mohabat ko Rog kabhi nahi kehte hain, na mantay hain aur na hi sun saktay hain...!!
Mohabbat to mohabbat hai bas, diye aur daitay rehne ka naam, bin mangay, bin tolay....!!
[umm just an opinion.. i have no idea, what i just wrote, so bear it if it is worth doing so..;d]
Last edited by Mohabtain Kia Kia; 07-06-2009 at 07:03 AM.
Aj kal kay halaat main muhabbat roug hi hai..!!
muhabbat main wese hi insan ajeeb hojata hai,chahe muhabbat main kamyabi mili ho ya nakami insan badal jata hai.Uska behaviour ajeeb hojata hai kabhi bilwaja gussa karne lag jata hai kabhi bilawaja buhat acha behaviour hojata hai.Jb muhabbat main kamyabi hogi to khush rahega har waqt kuch alag si feelings ajaten hain phir,aur sab kay sath bht acha bartao karta hai.Jab muhabbat main nakami ho to kyun kay khud insan kay ander ek +++++++ hoti hai is waja se na kisi kam main dil nhi agta hai na koi koi kam theek tarah kar pata hai.Kabhi kabhi apne upar zulm karne lag jata hai khana nhi khayega kisi se bat nhi karega aur kuch jununi to apni zindagi hi khtam karlete hain is tarah un logon ko behad azyat hoti hai jo us insan ki care kartey hain wo bhi pareshan hotey hain..
aj kal kay halat bhi bht mushkil hain ese main insan ko muhabbbat hojaye,nakami ho ya kamyabi ye alag bat hai,muhabbat hojaye to badla badla insan un sab kay lye museebat aur pareshani ka bayeis ban jata hai jin ka inehsar hota hi us shakhs par hai..!!
(ye meri apni thoughts then jo mene yahan likhen,mjhe nhi pata question ka answer de paya k nhi bs jo mere khyalat thay likh dye lafrzon ki shakal main aur pehli dafa hi is comp main hissa lya hai .. )
MKK ka ans buht acha laga me ko...or bilkul sachi or khari baat ki hai...MKK nay
kher
depand kerta hai....situation per tym per or insaan per beeti hoyi kahani per....
personally i think keh muhbbat roog nai hoti....yeh sab depend kerta hai..insan ki soch per..keh ap kaisay or kis andaz main sochtay hain....muhbbat ik buht acha jazba hai...or mera nai khayal ais k liye koi aisa lafz sahi rehtay hain.....roog or masalsal gum hai...ya jo bhi.....
so basicly muhbbat kuch logon k liye rog b ho sakti hai.....or kuch logon k liye nai bhi hoti....depend kerta hai...sab kuch situation per.....
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....