Jab bhi rooh la-hasil muhabat kerti hai tu deewane pan se kiyon humkanar ho jati hai? Kia roh humaisha la-hasil raston per jana pasand kerti hai? Kia is k liye deewangi k bina koi pinah nahi?
Muhbat nafrat ka seedha Saadha shaitani roop hai. Muhabat safaid libas mein malboos Omar-o-Ayar hai� humaisha do ranhon per laa ker khara ker daiti hai. Iss ki rah per harr jaga rasta dikhaney ko saleeb ka Nishan gara hota hai. Muhabati ghameelon mein kabhi faisla kun sazaa nahi hoti, humaisha omar-kaid hoti hai.
Muhabat pane wala kabhi iss baat per tu mutma�in nahi ho jata k issey aik din k liye mukamal taur per kisi aur shaks ki muhabat hasil hoyi thi. Muhbat tu harr din k sath aa�ada chahti hai. Jab takk roz iss tasweer mein rang na bharo, tasweer faid honey lagti hai� jaisay sooraj na charhey tu din nahi hota� isi tarah jis din muhabat ka aftaab talu�u na ho, raat rehti hai� tum inn bataon ko nahi samjh saktey� mujhe gham ne flasafi banaa dia hai� tumhain kia pata k zameen ka harr qata�a surja kiyon mangta hai� jis shakhs se muhabat miley humaisha ussi k paas rehnay ko jee kiyon chahta hai�
~Raja Gidh, Bano Qudsia