Thank a bunch soch nagar
Aap ka sawal apni jagah bilkul durust hai aur baat ye hai ke ye shayad sab ka apna apna sochney ka nazarya bhi hai koi kisi cheez ko kuch naam deta hai koi kuch apne ilm-o-danish ya tajarbey ki bunyaad per.. for example.. kuch log pyar ishq muhabbat ko ek hi qaraar detey hain aur muje lagta hai aap bhi un me se ek hain aur jo ke koi ghalat baat nahi hai kionke jazba to ek hi hai bas shiddat ka farq hai.. kuch log ishq ko junoon ka naam bhi detey hain depend ye karta hai ke aap jo keh rahay hain us ke peechey jazbay ki shiddat kitni hai alfaz ya naamo se kya hota hai.. misaal ke taur per mai kehta hun muhabbat ek paak pakeeza haseen jazba hai jis me khud ko ya kisi ko nuqsaan pohunchanay ka banda soch bhi nahi sakta bas apney mehboob ki khushi hi chahiye hoti hai aur kuch bhi nahi is me haasil karney ki khuwahish ghalib nahi aati.. jabkay ishq me mai samajhta hun ek junooni kefiyat shamil hojati hai jo aap per haawi hojati hai wo muhabbat ke paak jazbay per ghalib aakar zidd per utar aati hai ke ab ye haasil karna hai warna fana hojana hai.. Basically mujhey jo lagta hai muhabbat aur ishq ko alag alag bayaan kya jata hai wo is lye kionke muhabbat me aap ko mehsoob ka haasil chahiye hota hai jabkey wohi cheez ishq me opposite ho kar aap ko apna haasil paaney ki tamanna per uksaati hai..
Mai aksar kehta hun apney sathiyon se..
Pyar kar pyar se baaz na aa...
Bhool kar bhi ishq ke pas na ja...
tashnagi rah gayee ho to is muaafi kionke hum bhi abhi is raah ke musafir hi hain manzil nahi paai
Tujhe Bhula Diya..
Phir Kyun Teri Yadon ne..
Mujhe Rula Diya ..
serious_thoughts
Mera Sawal:
Mein apna pichlay wala he sawal dohra rahi hoon:
k mohabbat ki alamatein kia hein?
dil mein aik banda bas jaata hai, her waqat usay souchna, us ki baaton ko yaad kerna, us k anay ka intizar kerna, yeh tou aik had tak hein, i know.
dil mein kahi yeh baat chupi hue hoti hai k hamein is banday say mohabbat hai aur hum is baat ko accept bhi kertey hein..
mohabbat kay asal rang ko kaisay mehsos kiya jaata hai?
kab yaqeen ho jaata hai k yeh marobiyat,dil-lagi nahi balkay MOHABBAT hai?
Kya Muhabbat k baad Muhabbat Mumkin hai??????
bohat achay jawabaat serious_thoughts. ap k views kafi achay lagay aur quite positive bhi hien.
mein aap ki is baat say totaly agree karti hoon k ishq(jo janooni ho ja'ay, jo halal, haram, kufr, imaan mein farq kerna bhula day.........gunha'ay kabeera hai. "ISHQ SIRF ALLAH(SWT) KI ZAAT SAY HE KIYA JAATA HAI."
hum insano say payar, mohabbat kertey huey apnay ALLAH(SWT) tak pohnchtaye hein. aur yeh baat aaj he mujhe realize hue k insan ko jab kise insan say mohabbat hoti hai tou woh apnay aap ko us k sanchay mein dhal leta hai
aur woh he mohabbat jab ISHQ-E-HAQEEQI banta hai tou insan aik mukamil aur kamil moumin ban jaata hai aur apnay ALLAH(SWT) ka hazoor pori istiqamat say jukh jata hai.
mohabbat, payar--------insano say
aur ishq sirf........ALLAH(SWT) say
once again great replies
buht acha ans kiya u nay...me b kuch kuch yahi sochti hoon ishq or muhbbat k baray main...
ishq janoon hota hai janti hoon....but ap jab kisi say muhbbat kertay ho...tu wo insaan b ap per havy he ho jata hai..ik janoon ki had tak he chahtay ho usay...means her tym wohi shakhs ap k ird gird aas pass rehta hai..or u nay kaha keh panay ki khawahish muhbbat main hoti hai or ishq main wohi khawahish janoon ban jati hai zid ban jati hai...but......mere khayal main...apni muhbbat kho denay ka hosla tu Muhbbat main b nai hota....us main b paa lenay ki khawahish k saath saath wohi sab b hota hai jo ishq main...or dosri baat keh ishq main muhbbat main sirf us ki khushi chahta hai or ishq main apna sochta hai...per aisa b tu hai keh jo banda ap ko itna azeez hai..jis k liye ap pagal hain..nuqsaan tu us ka ap kisi tarhan b nai ker saktay..beshaik ishq main janooni ho ker ya muhbbat main soch samhj ker.....
kher well ans'ed......acha laga parh ker...
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Last edited by ~*Rano*~; 08-04-2009 at 07:14 AM.
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
Thanks Hijaab
Buhut khubsurat sawal kya hai aap ney ke Muhabbat ko kab pehchana jata hai ke haan hamay muhabbat ho gayee hai .. to is ka jawaab me apney personal experience se dena chahun ga ke jo mujhe mehsoos hua tha .. Bas mujhey ziada kuch idea nahi tha na hi is jazbay ki gehraai aur shaffafiyat se waaqfiyat thi ..Shroo shroo me bas koi shakhs aap ko acha lagna shroo hota hai us ke peechey kuch bhi wajah ho sakti hai us ki aadaten, us ki baaten ya physical appearance bhi matter karti hai.. Jahan tak achay lagnay ka sawaal hai to hamay zindagi me buhut se log miltey hain jo hamay achay bhi lagtay hain aur waqt guzarney ka dil chahta hai unke sath..lekin waqti dil lagi ya maarubiyat kisi ke sath hona ye muhabbat ki daleel nahi hai.. to sawaal ye hai ke aakhir kab undaza hota hai .. Jab aankhon se muaamla barhkey dil me utarney lagay wahan se muhabbat ka aaghaz hota hai jis me aap apni roz marra ki zindagi ke har hissey me us shakhs ko dekhtey hain aur mehsoos kartey hain.. Us shakhs ki khushi jab aap ki khushi ban jaye aur us ka ghum khud ba khud aap ko ghamgeen kardey, us ki ek jhalak ke lye bechain rahen to insaan ko samajh lena chahiye ke haan mujhe muhabbat ne chun lya hai.. Aap khud ko badalney lagen aur aisa bananay ke lye koshan hojayen jaisa usey pasand hai mai samajhta hun inhi sab alamaat se ek shakhs ko undaza hojana chahiye ke wo muhabbat karta hai .. Itna pyara jazba hai jis me insaan khud ko pyar karney lagta hai
Bas aisey hi waqar ali ka ek khubsurat naghma yaad aagaya us ke kuch misrey tehreer kar raha hun...
Tum Jahan Bhi Beth Ke Jaatay Ho..
Jis Cheez Ko Haath Lagatay Ho..
Mai Waheen Pe Betha Rehta Hun..
Us Cheez Ko Takta Rehta Hun..
Mai Aisi Muhabbat Karta Hun..
Tum Kaisi Muhabbat Kartey Ho..
Tujhe Bhula Diya..
Phir Kyun Teri Yadon ne..
Mujhe Rula Diya ..
Thanks Paras
Mushkil sawaal hai Paras.. is ka sahi aur clear jawab wohi dey sakta hai jisey ye naymat do dafa mili ho ek hi zindagi me.. Hum per filhaal ek hi dafa meherbaan hui hai .. Koshish karta hun jawaab deney ki
Mera manna kuch aisa hai ke ek Muhabbat hotey huye bhi aap ko kisi se Muhabbat ho sakti hai lekin us ka mayaar pehli Muhabbat se bilkul alag hoga, ho sakta hai shiddat ziada ho aur ho sakta hai ke kum ho.. it just depends.. for example.. Aap kisi ko chahtay hain.. toot kar chahtay hain.. zindagi bhi saath guzarney ki tamanna hai.. lekin kisi bhi wajah se aap se wo durr hojati hai aur un mey se nahi hain jo ek larki ki wajah se apni zindagi tabah karden aur unko takleef den jo aap ki zindagi me us se pehley they aur aap se muhabbat kartey hain maslan aap ke maan baap behen bhai. Ab aap un ke lye jeetey hain aur aap ki shadi ek aisa jagah hoti hai jahan aap ki taraf se koi feelings nahi theen kabhi.. Aur jis shakhs se shadi hui hai wo aap ko chahta hai be panah.. to sachi Muhabbat me to aisa hi asar hota hai ke wo pathar ko bhi mom banadey.. ab agar kuch saalon tak ek sakht pathar per bhi paani ki boonden tapkaai jayen us me bhi soorakh hohi jaata hai aakhir.. to insaan ka dil ko muhabbat ka bhooka hota hai usey banaya hi is tarhan gaya hai ke jahan se muhabbat milti hai wahan khicha jata hai.. Aap apni pehli muhabbat ko kabhi bhula nahi saktey ye insaani fitrat ke khilaaf hai lekin haan ho sakta hai doosri muhabbat ka asar aisa ho jo pehli per haawi aajaye aur aap phir se ji uthen ...
I dunno kis had tak durust hai jawab .. Meri islaah karen agar mai kaheen ghalat hua hun kionke mujhe experience nahi hai itna
Tujhe Bhula Diya..
Phir Kyun Teri Yadon ne..
Mujhe Rula Diya ..
thanks alot for liking my thoughts
Actually ek shakhs ko kaafi waqt chahiye hota hai is nateejey tak pohunchney ke lye kionke ek shakhs jisey abhi abhi muhabbat hui usey sab acha lagta hai bas wo ye sab sochta nahi na hi soch sakta hai jab tak wo muhabbat me kuch saal na guzarey ..warna likhtey parthey to sabhi hain is ke baaray me
Tujhe Bhula Diya..
Phir Kyun Teri Yadon ne..
Mujhe Rula Diya ..