Page 3 of 5 FirstFirst 12345 LastLast
Results 21 to 30 of 46

Thread: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thoughts

  1. #21
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by ~*Rano*~ View Post
    buht acha ans kiya u nay...me b kuch kuch yahi sochti hoon ishq or muhbbat k baray main...

    ishq janoon hota hai janti hoon....but ap jab kisi say muhbbat kertay ho...tu wo insaan b ap per havy he ho jata hai..ik janoon ki had tak he chahtay ho usay...means her tym wohi shakhs ap k ird gird aas pass rehta hai..or u nay kaha keh panay ki khawahish muhbbat main hoti hai or ishq main wohi khawahish janoon ban jati hai zid ban jati hai...but......mere khayal main...apni muhbbat kho denay ka hosla tu Muhbbat main b nai hota....us main b paa lenay ki khawahish k saath saath wohi sab b hota hai jo ishq main...or dosri baat keh ishq main muhbbat main sirf us ki khushi chahta hai or ishq main apna sochta hai...per aisa b tu hai keh jo banda ap ko itna azeez hai..jis k liye ap pagal hain..nuqsaan tu us ka ap kisi tarhan b nai ker saktay..beshaik ishq main janooni ho ker ya muhbbat main soch samhj ker.....


    kher well ans'ed......acha laga parh ker...

    Haan Rano tum ney sahi kaha Muhabbat khoney ka hosla khud Muhabbat me bhi nahi hota lekin kehney ka maqsad ye hai ke circumstances ki bina per agar koi shakhs aap ko nahi mil paata hai to aap kaisa behave kartey hain kya apni zindagi ko tabah karden gay ye ishq ki alamat hai .. ya us ki muhabbat ke saharay zindagi guzarden gay un muhabbaton ke lye jo us shakhs se pehley se aap ki zindagi me hain aap ke maan baap behen bhai..

    Dusri baat Muhabbat me bhi paaleney ka jazba shamil hai bas haawi nahi hota na .. Maqsad ye hai ke Muhabbat aap ko optimist banati hai jabkey ishq o junoon pessimist..

    thanks alot Rana

    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  2. #22
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Koi rah to nahi gaya ...
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  3. #23
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    bht achay ans diye hain aap nay

    mera sawal yeh k ....

    yak tarfa Muhbbat kay baray may Aap kia khay gay...? jab k feelings apany ikhtiaar may nhi hoti or na hi in per koi zberdasti chlati hy..to jab insaan asi feelings ka shkaar ho jaye jha per aik taraf sy muhbbat ho dusri taraf sy milnay ki koi umeed na ho to woh kesa react kerta ho ga ya usay kia kerna chahye jb k yeh kwahish to hmsha rhti k woh b aap ko wesa hi chahye....??

  4. #24
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by serious_thoughts View Post

    Haan Rano tum ney sahi kaha Muhabbat khoney ka hosla khud Muhabbat me bhi nahi hota lekin kehney ka maqsad ye hai ke circumstances ki bina per agar koi shakhs aap ko nahi mil paata hai to aap kaisa behave kartey hain kya apni zindagi ko tabah karden gay ye ishq ki alamat hai .. ya us ki muhabbat ke saharay zindagi guzarden gay un muhabbaton ke lye jo us shakhs se pehley se aap ki zindagi me hain aap ke maan baap behen bhai..

    Dusri baat Muhabbat me bhi paaleney ka jazba shamil hai bas haawi nahi hota na .. Maqsad ye hai ke Muhabbat aap ko optimist banati hai jabkey ishq o junoon pessimist..

    thanks alot Rana




    u ko kaisay pata hum Ranay hain..


    well u nay sahi kaha hai.....but.........choro...
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest  serious_thoughts

  5. #25
    Join Date
    May 2008
    Location
    Karachi
    Age
    41
    Posts
    8,519
    Mentioned
    6 Post(s)
    Tagged
    274 Thread(s)
    Rep Power
    21474861

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by serious_thoughts View Post

    Thanks Paras

    Mushkil sawaal hai Paras.. is ka sahi aur clear jawab wohi dey sakta hai jisey ye naymat do dafa mili ho ek hi zindagi me.. Hum per filhaal ek hi dafa meherbaan hui hai .. Koshish karta hun jawaab deney ki

    Mera manna kuch aisa hai ke ek Muhabbat hotey huye bhi aap ko kisi se Muhabbat ho sakti hai lekin us ka mayaar pehli Muhabbat se bilkul alag hoga, ho sakta hai shiddat ziada ho aur ho sakta hai ke kum ho.. it just depends.. for example.. Aap kisi ko chahtay hain.. toot kar chahtay hain.. zindagi bhi saath guzarney ki tamanna hai.. lekin kisi bhi wajah se aap se wo durr hojati hai aur un mey se nahi hain jo ek larki ki wajah se apni zindagi tabah karden aur unko takleef den jo aap ki zindagi me us se pehley they aur aap se muhabbat kartey hain maslan aap ke maan baap behen bhai. Ab aap un ke lye jeetey hain aur aap ki shadi ek aisa jagah hoti hai jahan aap ki taraf se koi feelings nahi theen kabhi.. Aur jis shakhs se shadi hui hai wo aap ko chahta hai be panah.. to sachi Muhabbat me to aisa hi asar hota hai ke wo pathar ko bhi mom banadey.. ab agar kuch saalon tak ek sakht pathar per bhi paani ki boonden tapkaai jayen us me bhi soorakh hohi jaata hai aakhir.. to insaan ka dil ko muhabbat ka bhooka hota hai usey banaya hi is tarhan gaya hai ke jahan se muhabbat milti hai wahan khicha jata hai.. Aap apni pehli muhabbat ko kabhi bhula nahi saktey ye insaani fitrat ke khilaaf hai lekin haan ho sakta hai doosri muhabbat ka asar aisa ho jo pehli per haawi aajaye aur aap phir se ji uthen ...

    I dunno kis had tak durust hai jawab .. Meri islaah karen agar mai kaheen ghalat hua hun kionke mujhe experience nahi hai itna


    hmm mujhe andaza hai k mushkil sawal tha leken yeh daikhain k us aik jumlay main kitne sawal chupay hoye thay , aap ne apni samjh k mutabiq achi baat kahi hai janab........ Shabash!!!!!!! ........aur mein kaise islah karon janab, apna waqt guzar gyaa ...... aur yeh experience ki baat tu aise keh rahay hain k jaise main is khail ki purani paapi hon

    majmooi tor par acha jawab raha !

    2dnmmf - Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest  serious_thoughts

  6. #26
    Iman's Avatar
    Iman is offline Ĵεάℓoμςұ мзάηş !'м ĝя8..
    Join Date
    Jan 2009
    Location
    ς α я α ς н เ
    Age
    36
    Posts
    3,785
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474855

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Welcome . . . ab tum se mai kia sawal karun preparation he achi nahi kar k aye ho

    chalo phir b ek chota sa sawal hai

    Q- Kabhi Kabhi rishton ki mohabbat insan ko itna majboor kar deti hai k agar aus ko apni zaat ko lekar koi eham faisla karna ho to wo aun rishton k bandhan mai ulhaj k reh jata hai !! ause kia karna chahye ? ? ? apni dil ki bat ko pura karna chahye ya rishtaoon ki mohabbat ka khiyal rakhte ho apni dil ki bat ko qurban kar dena chahye ?
    ...
    .
    .

    .
    .
    .. Pā„›ā„ŠŸÄŒĪžÅšÅš - ā„ā„³ ƚ..
    2po8b3s - Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest  serious_thoughts



  7. #27
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by ~*Heer*~ View Post
    bht achay ans diye hain aap nay

    mera sawal yeh k ....

    yak tarfa Muhbbat kay baray may Aap kia khay gay...? jab k feelings apany ikhtiaar may nhi hoti or na hi in per koi zberdasti chlati hy..to jab insaan asi feelings ka shkaar ho jaye jha per aik taraf sy muhbbat ho dusri taraf sy milnay ki koi umeed na ho to woh kesa react kerta ho ga ya usay kia kerna chahye jb k yeh kwahish to hmsha rhti k woh b aap ko wesa hi chahye....??
    Buhut shukriya jawabat pasand karney ka Heer

    Muhabbat per kisi ka zor to chalta nahi .. is lye ab hogayee to hogayee ab kya karen na hi aap samnay walay ko pakar kar zabardasti muhabbat karwa saktey hain ye muhabbat ke usoolon me shaamil hi nahi.. To ab insaan kya karey jab ke wo kisi shakhs ki muhabbat me giraftaar hai aur wahan se koi umeed na ho.. To yahan har insaan ka radd-e-amal dusrey shakhs se bilkul mukhtalif hoga kionke har koi ek jaisa nahi hota har kisi ke mizaaj me zameen aasman ka farq hota hai.. Jo sachi muhabbat karta hai wo pehley to koshish karey ga ke muhabbat se us shakhs ko apni taraf maail karey kionke sachi muhabbat me buhut taaqat hoti hai agar phir bhi wo shakhs aap ka na hua to ab aap ki qismat ..waisey bhi aap ko jis se muhabbat hui hai ye zaruri nahi na wo shakhs bhi aap ko chahay aur muhabbat ne kab wada kya hai ke mai tumko sirf khushyaan dun gi.. ye to zindagi ki tarhan hai is me khushyan bhi milti hain aur ghum bhi miltey hain.. paaleney ki chahat shamil zarur hoti hai muhabbat me aur takleef bhi deti hai mehboob na miley to lekin us ki khushi agr kaheen aur hai to aap apna ghum bhul jatay hain.. Hum to isi ko muhabbat ka naam detey hain

    Hoti Hai Bari Zalim.. Yaktarfa Muhabbat..
    Wo Yaad To Aatey Hain.. Per Yaad nahi Kartey..


    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  8. #28
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by ~*Rano*~ View Post


    u ko kaisay pata hum Ranay hain..


    well u nay sahi kaha hai.....but.........choro...

    Bas lag gaya

    sahi kaha but
    nahi chorna.. point clear hona chahiye.. dobara poocho
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  9. #29
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by Paras View Post
    hmm mujhe andaza hai k mushkil sawal tha leken yeh daikhain k us aik jumlay main kitne sawal chupay hoye thay , aap ne apni samjh k mutabiq achi baat kahi hai janab........ Shabash!!!!!!! ........aur mein kaise islah karon janab, apna waqt guzar gyaa ...... aur yeh experience ki baat tu aise keh rahay hain k jaise main is khail ki purani paapi hon

    majmooi tor par acha jawab raha !

    apna waqt guzar gya
    purani paapi

    thank u
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  10. #30
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mere Jawab Tumharey Sawal! Guest serious_thou

    Quote Originally Posted by Gur!ya View Post
    Welcome . . . ab tum se mai kia sawal karun preparation he achi nahi kar k aye ho

    chalo phir b ek chota sa sawal hai

    Q- Kabhi Kabhi rishton ki mohabbat insan ko itna majboor kar deti hai k agar aus ko apni zaat ko lekar koi eham faisla karna ho to wo aun rishton k bandhan mai ulhaj k reh jata hai !! ause kia karna chahye ? ? ? apni dil ki bat ko pura karna chahye ya rishtaoon ki mohabbat ka khiyal rakhte ho apni dil ki bat ko qurban kar dena chahye ?
    thanks Guriya
    Kabhi nahi hoti meri preparation..

    Hmm.. Depend ye karta hai ke aap ke wo konsey muhabbat ke rishtey hain jo aap se aap ki zaat se barh key taqazay kar rahay hain .. Agar to wo maan baap hain to mere nazdeek us per koi compromise nahi hona chahiye kionke pehli baat ye ke maan baap ka nafarman na dunya me kaamyaab hai na aakhrat me.. Aap ko khud ko maarna parta hai jab aap ki maan ya baap kisi baat ka taqaza aap se karen jo ke aap ki tabiyat ke khilaf ho.. misaal ke taur per yehi muhabbat ko lelen ke aap jisey chahtay hain wo bhi aap ko chahti hai us ki family bhi raazi hai lekin yahan aap ki maan ne mana kardya wajah koi bhi ho sakti hai.. Ab khud se pooch kar batayen aap kya faisla karen gay .. ek zee rooh shakhsiyat jisey maan baap ki ehmiyat ka undaza hoga us ke lye us ki self kuch nahi un ke samnay .. aisi hazaar larkiyan ya larkey qurbaan un maan baap ke lye wo alag baat hai ke dil se muhabbat nahi jaati kabhi.. ye na farmani nahi hai kionke ye to fitri amal hai na .. na farmani jab hoti jab aap maan baap ki marzi ke khilaaf jatay.. Un se ziada muhabbat karney wala kahan aur kis ko mila hai is dunya me..

    Ye uper jo do rishtey hain ye baaqi sab rishton se afzal hain... ye beloss muhabbat ke rishtey hain jo hum se kabhi kuch nahi chahtay return me.. asal muhabbat karna inho ne hi to humey sikhaya hota hai jo ke hum ko khud ilm nahi hota... lekin haan sharai taur per aap ko apney behen bhai ya kisi aur rishtey dar ki har baat mannay ka hukm nahi dya gaya na hi aap us se gunahgaar hotey hain .. agar to un ki zindagi aap ke faisley se affect nahi ho rahi to mera khayal hai aap ko apni zaat ko ehmiyat deni chahiye yahan ..

    Guriya.. dil to demands karta hi rehta hai aakhir kab tak ek insan us ki demans ko poora karta rahey ga.. jab tak aap kisi doosrey shakhs ko dukh nahi pohuncha rahay ya us ki zindagi ko affect nahi kar rahay apney faisley se .. wahan tak apney dil ki sunney me harj bhi nahi hai .. Bas dil ka har hukm mannay wala nuqsaan me rehta hai .. halanke me bhi unhi me se ek hun jo dimagh 2nd number per tarjeeh detey hain..


    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



Page 3 of 5 FirstFirst 12345 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •