Yeh
~*Heer*~ Ka Question Or
Paras Ka Anwser Hai
Question
"Muhbbat insaan ko khudgerz bna deti hy woh sirf khud ko or apni muhbbat ko soch rha hota hy"....aap ka is baat per kitna yaqeen hy? asa kio hy k insaan aik rishty k liye baqi sab rishto ko bhool jata hy...?? jab k mera yaqeen hy k jo loog muhbbat sy ashnaa hoty hy Muhbbat ko pehchanty hay woh baqi sb rishto'n k or b qareeb ho jaty hain....lakin aj kal sort-e-hal diff nazer ati hy....aisa kio...??
Answer
Mein ne aik sawal k jawab main kaha tha k Muhabbat mature age main huni chahye, beshaq muhabbat pe bas nhi chalta hai ,woh kabhi bhi , kahin bhi hu sakti hai, aur Muhabbat mein aik point par aakar insaan waqai khud garz hu jata hai k usay sirf apni chahat chahye huti hai, woh is k leye step bhi laita hai , aur baaz gharanon main baat ruswai tak hu jati hai ...... yeh bhi muhabbat ki aik kism hai , aur mujhe is se inqaar nhi , yeh case ziada tar teen age main dikhaye daite hain k insaan khud garz hu jata hai! ab Allah dilon k haal janta hai ,
Jab k mera khayal hai k insaan muhabbat se insaniyat ki mairaj tu paa sakta hai leken khud garz nhi hu sakta....
Muhabbat mein jab aik point aisa aata hai na k hamari sirf AIK MUHABBAT , ya boht si muhabbatain ( yaani hamari family ) tu intikhaab karna mushkil hu jata hai, leken jo mature insaan huga woh pehle apne ghur walon ko sorat-e-haal se agah karay ga , agar woh maan jayen tu theek is se bari khush naseebi kya hu sakti hai leken na manay tu woh sabr kar laita hai ( BOHT HIIIIII JAAN LAIWA MARHALA HUTA HAI YEH) kyon k woh apni aik muhabbat jo hazar muhabbat se taqat war huti hai apne parents ki khushi k leye chor daita hai...... lken haqeqatan wahi shakhs muhabbat ka haqdaar huta hai ,
Pakistan main khaas kar kitni hi larkyon ko aur kitne hi larkon ko is azaab se guzarna huta hai , kyon k woh apne khalis , sachay rishton ka intikhaab karte hain ..... aur baaqi ki zindagi compromise k tehet guzar daite hain...
Dil toot bhi jaye magar hansti hi rahain gi
Kitni munafiq huti hain yeh mashriq ki larkiyan
Oh aap ne poocha k sorat-e-haal mukhtalif kyon hai , tu is ka jwab yeh hai k un ki nazar main apne qareebi rishtey ki ahmiyat nhi huti , woh apne ghur walon ko dukh dai k apni muhabbat pa laite hain ......kyon k muhabbat mein woh bhool jate hain k qareebi rishtey kya hute hain ..... woh dil dukha k nai zindagi ka aghaaz karte hain , jis ki ibtida hi dil dukha k ki jaye woh bhala sukoon se reh sakte hain???? bus bigaar yehi se paida huta hai
Leken saath hi yeh bhi kehna chahti hon k Parents ko bhi apna qalb wasee kar laina chaheye , agar oulaad hi pasand hai woh myaar pe poora utarti hai tu kar dain , leken aksar waldain bhi zidd mai ajate hain aur yoon kitni hi zindagi tabah hu jati hain
Haal hi main 2 case aise daikhay main ne , parents se marzi k khilaaf shaadi kar di , aur baitay ne 2 month baad hi begum ko divorce dai di... khair janab...........Allah sab k naseeb achay karay , Ameen.