hUm Apnay dArd LafzOn Kii zUbaani Rakh Nahi Saktay
Qlam Kii nOak Par kOii Kahaanii Rakh Nahi Saktay
mUhabbat Kar tO Saktay hAin hUmara Almiya Yeh hAi
K hUm Tawaan Mein Apni Jawaani Rakh Nahi Saktay
mUhabbat Kaiynatii Bhi hAi Yeh TaSleem hAi Lekin
Zameen Zaaday hAin Jazbay AaSmaanii Rakh Nahi Saktay
hUmara Ishq Bala hAi tUmharii SOch Kii Had Say
kOii KanGan kOii ChOorii NiShaanii Rakh Nahi Saktay
hUmien tO Zard rUtt Nay Qaid Kar Rakha hAi Kuch Aisay
kOii Umeed AankhOn Mein Suhaanii Rakh Nahi Saktay
Chalo Kuch PhOol Lay Aaien Naii Khwaahish Kay mOusam Say
Naye Dalaan Mein Yaadien Puraanii Rakh Nahi Saktay
Para hAi WaSta "Amjad" mUhabbat Ka YaZeedOn Say
Yahaan hUm Apni AankhOn Mein Bhi Paanii Rakh Nahi Saktay