Zindagi
Ise Read karke mere Mind mein to ye aya
K Manaa Kuch Muhabbatein Pheli Nazar mein Ho Jati hain magar
Baaz Muhabbat Waqt ke sath sath parwaan charti hain
Aur ye bi wesi hi muhabbat hai jo abi nahi baad mein magar zaror hogi.
Salam
Thread may members kay share kiye hoye Answer`s lgay ja rhay hain ...achi terha soch smhj kr vote kro sab
RuLes :
1...sirf Aik he Ans ko vote diya jasakta hai.
2...Members apni shamil ki gaye Ans ko vote nahi de sakte...jis ne diya wo vote cancel kardiya jaye ga.
3...Polling ki last date 28 April Hai.
Zindagi
Ise Read karke mere Mind mein to ye aya
K Manaa Kuch Muhabbatein Pheli Nazar mein Ho Jati hain magar
Baaz Muhabbat Waqt ke sath sath parwaan charti hain
Aur ye bi wesi hi muhabbat hai jo abi nahi baad mein magar zaror hogi.
SeRiOuS ThOugHts
Mere zehen me aata hai ke is misrey ke likhney walay ke paas jaaon aur us se kahun ke Muhabbat muhabbat hai jab honi hogi.. hogi..ye ab aur tab kahan se aaya.. Muhabbat ki nai jaati muhabbat ho jati hai apna to kuch aisa manna hai
Ehsaan Tera Hoga Muje Per.... Dil Chahta Hai Wo Kehney Do..
Muje Tum Sey Muhabbat Hogaye Hai.. Muje Palkon Ki Chaon Me Rehney Do..
Hijab
Is misray ko parh ker meray zehn-o-dil mein dou baatein aati hein:
#1:
Sha'ir ko apni mohabbat ka iqrar hai. usay maloom hai k woh mohabbat kernay laga hai, us nay is baat ka iqrar khud say bhi kiya hai, magar jis banday say kerta hai.....us k samnay man'nay say ankari hai. shyd us k samnay ana ki deewar hai, woh jo dil to dhana cha'hta hai, per ana dha k nahi deti.
#2:
Agar specifically baat ki ja'ay tou is mein lafz "AB" kafi meaning rakhta hai. shyd is insan ko na-kaam mohabbat mili hai aur woh is dard say nikalnay k liy'ey kuch time chah'tey hein.
Lekin mera pehla point ziada explicit lagta hai mujhe. "yeh kuch din baad hogi." is mein aik iqrar aur dard chupa hai k us banday k janay say aap ko kitna dukh ho ga. "mohabbat ki kathan manzalien tou aap us k janay k baad tey karein gey." abhi tou aap shyd mohabbat k khush-numa dour say guzar rahey hon, lekin is ki dard-bhari haqeeqtein aap per baad mein khulein gi."
Jab woh shak'sh nahi ho ga tou: hijar, tarap, rona, jagna, sab ho ga
Sab dar roshan ho jayen gey mujhe per mohabbat ke.
~*Rano*~
Mere zehan main yahi ata hai keh
Muhbbat koi sochi samhji cheez nai hoti..na he ais main planning hoti hai keh abhi kerni hai ya kuch din baad kerni hai...na he ais per ikhtayar hota hai kisi insaan ka...so ais shair ka matlab nai koi bhi....
Paras
Muhabbat Ab Nahi hugi Yeh Kuch Din Baad Hugi
Guzar Jayen Ge Jab Yeh Din Yeh Un Ki Yaad Mein Hugi
Munir Niyazi Ki Kulliyat-e-Munir se li gai nazm ka yeh juzvi hissa boht mutasir kun aur Dil faraib hai..... aksar mere zer-e-lab rehta hai !!!
Munir Sahab k dil main shayad yeh baat chal rhi hai k main apne mehboob k saath jo waqt guzar raha hon , mujhe abhi sirf usay hi chahna hai , muhabbat ka rog tu hum baad main paal lain ge leken is waqt mujhe apne mehboob ko mehsoos karne do , main yeh khoobsurat pal boht sukoon se guzarna chahta hon , apne mehboob ki aankhon k khoobsurat rang khud main samona chahta hon , Muhabbat k leye mere dil mujhe beqarar na kar , abhi in khoobsurat lamhaat ko qaid kar lay aur phir inhi lamhaat ko yad kar k muhabbat ko mehsoos karna!
Yahan poet ki masoomiyat qabil-e-zikar hain , woh mehboob ki muhabbat main mubtala hu chuke hain leken apne dil -e-nadaan ko behla rahay hain ! aur keh rahay hain k
Muhabbat Ab Nahi Hugi Yeh Kuch Din baad hugi......!
~*Heer*~
Meri bht fav nazam hy yeh or is ko perh kr humsha aik hi baat zhen may ai hy k
Is ka yeh matlab hy k bht baar insaan ko pata hi nahi chlta k woh jis insaan k sath reh raha hy...waqt guzar raha hy woh us k liye kitni ahmiyat rkhta hy...jab tk dermiyan may hijar na aa jaye dorri na aa jaye....jab woh insaan aap sy door hota hy tb us ki ahmiyat, apnay jazbaat aap per waziha honay lgty hai...tab us ki aik aik baat us k sath guzara her lamha yaad ata hy.....un lamho k lout anay ki kwahish shdeed treen ho jati hy k kash wohi pal wohi din phr sy aa jaye...tb yaady hi sermaya hoti hai or insaan yeh sochnay per majboor ho jata hy k "tujh sy juda ho ker jana hy...Tu dil k tha kitna qareeb..."
DaNgErOuS tEaRs
Is Jumle Ko Sun k yeh Mind main ata hai k
Jis ne Yeh Jumla kaha hai Woh Apni kafiyat per heran hai k us ko Huwa kya hai....Shayed use Muhobat hogayi hai yah Shayed woh Apne aap ko muhobat k jaal Main phasta Hua dekh raha hai.
voted...............
voted