Hijab
Is misray ko parh ker meray zehn-o-dil mein dou baatein aati hein:
#1:
Sha'ir ko apni mohabbat ka iqrar hai. usay maloom hai k woh mohabbat kernay laga hai, us nay is baat ka iqrar khud say bhi kiya hai, magar jis banday say kerta hai.....us k samnay man'nay say ankari hai. shyd us k samnay ana ki deewar hai, woh jo dil to dhana cha'hta hai, per ana dha k nahi deti.
#2:
Agar specifically baat ki ja'ay tou is mein lafz "AB" kafi meaning rakhta hai. shyd is insan ko na-kaam mohabbat mili hai aur woh is dard say nikalnay k liy'ey kuch time chah'tey hein.
Lekin mera pehla point ziada explicit lagta hai mujhe. "yeh kuch din baad hogi." is mein aik iqrar aur dard chupa hai k us banday k janay say aap ko kitna dukh ho ga. "mohabbat ki kathan manzalien tou aap us k janay k baad tey karein gey." abhi tou aap shyd mohabbat k khush-numa dour say guzar rahey hon, lekin is ki dard-bhari haqeeqtein aap per baad mein khulein gi."
Jab woh shak'sh nahi ho ga tou: hijar, tarap, rona, jagna, sab ho ga
Sab dar roshan ho jayen gey mujhe per mohabbat ke.