Palkon Par Aansuo Ka Manzar Dekhiye,
Inn Raahon Par Do Kadam Hi Sahi Par Chal Kar Dekhiye....

Pehle Dariya Se Guzarna Seekhlo,
Phir Kahin Jaakar Samundar Dekhiye....

Khushnuma Rehna Bahut Acha Hai Lekin,
Paau Phailaa kar Kabhi Chaadar Bhi Dekhiye....

Kitne Tammanao Ka Qatl Karta Hai Woh Shaks Roz-Aana!!
Kabhi Kisi Aur Ke Jazbaat Mein Beh Kar To Dekhiye.....

Haste-Haste Ro Dena Asaan Hai Eh Dost!!!
Kabhi Rote Hue Bhi Has Kar Dekhiye....

Uski Baatein Dil Ko Chuu Leti Hai "ANIQUE"
Par kabhi Uske Halaat Se Koi Guzar Kar Dekhiye....

Bebasi Ek Jurm Hai Aur Majboori Ek Sazaa,
Kabhi Inn Baaton Se Bhi Hatkar Dekhiye.....

Aandhiyon Ka Ab Koi Mausam Nahi,
Urh Na Jaaye Sar Se Chaadar Dekhiye....

Sach To Yeh Hai Ke Apna Saaya Bhi Hamesha Apne Saath Nahi Hota,
Kabhi Inn Sachaiyo Se Bhi Larkar Dekhiye....

Kisi Aur Ke Khaamiyon Par Guftugu Karne Walo,
Kabhi Khud Ko Bhi Aaene Mein Utaarkar Dekhiye.....

Aag Ke Tufaan Mein Qaid Hai Har Shaks Iss Jahan Ka,
Ab Kab Aayega Yahan Par Samundar Dekhiye....