Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak K Soo Jati Hy Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hy Maa
Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hy Maa
Nojawaan Hote Huye Boodhi Nazar Aati Hy Maa
Rooh K Rishte Ki Yeh Gehrayian To Daikhiye
Choot Lagti Hai Humare Aur Chillati Hy Maa
Kab Zarurat Ho Mere Bache Ko Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hy Maa
Jaane Kitni Barf Si Ratoon Mai Aesa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pe Hy Geeley Main Soo Jati hy Maa
Jab Khilone Ku Machalta He Koi Ghurbatt Ka Phool
Aansoon K Saaz Par Bache Ko Bhehlati Hy Maa
Fiker K Shamshaan Main Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaise Sookhi Lakriyan, Is Terha Jal Jati Hy Maa
Apne Aanchal Se Gulabi Aansuon Ko Poonch Kar
Dair Tak Gurbatt Pe Apni Ashk Barsati Hy Maa
Saamne Bachoon K Kush Rahti Hy Her Ik Haal Main
Raat Ko Chup Chup K Lakin Ashk Bersati Hy Maa
Phehle Bachoon Ko Khilati Hy Sukoon-o-Chain Se
Baad Mai Jo Kuch Bacha ho Shauk Se Khati Hy Maa
Mangti Hi Kuch Nahi Apne Liye ALLAH Se
Apne Bachoon K Liye Daman Ko Phailati Hy Maa
Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koi Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Sooli Pe Charh Jati Hy Maa
Har Eebadat Har Mohabbat Main Nahi Hy koi Gharz
Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ko Kar Jati Hy Maa
Bazuoon Main Kheench K Aajaye Gi Jaise Kainat
Apne Bache K Liye Bahoon Ko Phailati Hy Maa
Zindagani K Safar Main Gardishoon Ki Dhoop Main
Jab Koi Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hy Maa
Pyar Kehte Hain Kise Aur Mamta Kya Cheez Hy
Koi Un Bachoon Se Pooche Jin Ki Mar Jati Hy Maa
Safa-e-Hasti Pe Likhti Hy Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-e-Islam Kehlati Hy Maa
UsNe Duniya Ko Diye Masoom Rahber Is Liye
Azmatoon Main Sani-e-Quran Kehlati Hy Maa
Ghar Se Jab Pardes Jata Hy Koi Noor-e-Nazar
Haath Main QURAN Ly Kar Dar Pe Aajati Hy Maa
De K Bache Ko Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peeche Peeche Sir Jhukaiye Door Tak Jati Hy Maa
Kaanpti Aawaz Se Kehti Hy Baita "Ulwida"
Saamne Jab Tak Rahe Haatoon Ko Lehrati Hy Maa
Jab Pareshani Main Ghir Jate Hain Hum Pardes Main
Aansuoon Ko Poonchnei Khawbon Main Aajati Hy Maa
Dair Ho Jati Hy Ghar Aane Main Aksar Jab Humain
Rait Per Machle Ho Jaise Aise Ghabrati Hy Maa
Marte Dam Tak laote na isaka Bacha Gar Pardes Se
Apni Dono Putliyan Chokhat Pe Rakh Jati Hy Maa
Baad MarJane K Phir Baite Ki Khidmat K Liye
Bhais Beti Ka Baddal Kar Ghar Main Aajati Hy Maa
Door Ho Jati Hy Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Baiyah Kar K Baite Ka Jab Ghar Bahu Lati Hy Maa