Aehl-e-mefil ki khidmat main Aadaab,
apni aek aor ghazal paish kar raha hoon,umeed hai pasand aaye gi,
apni bahot qeemati aara se zaroor nawaaziye ga,
bahot khush rahiye,
adab zain sahb
wah wah, kiya baat hai janab zaberdast as usual
dil ko khak honay say kab bacha saka koi
aag dil lagi ki yeh kab bujhi bujhaanay say
bohat he zaberdast
wesay aik word ki samjh nahi ayi, plz isska matlab samjha dein gay
iss meray gronday k loag toh adu'hi thay
if am not pronounsing it wrong, toh iss adhu'hi ka matlab kia hai?
by the way, aapki designing kafi achi hoti ja rahi hai
when r u gonna teach me?
hamesha khush rahein
bahot shukriya Raani saahiba,is hosala afzaayi aor pazeeraayi ke liye,
adu....ka matlab hai dushman,.....adu hi the,..yehni dushman hi the,
desingning pehley main khud to seekh loon,phir aap ko bhi zaroor sikha doon ga,
wesey pehley shaairy to seekh lo na,desinging baad ki baat hai,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
boht hi khobsurat
abhi with love ki nazm ka maza layraha tha kay tumhari ghazal say dochand hogaya! yaar sach baat hay tumhari sha,iri tabdeel horahi hay.. kuch ghinaiyyet ki jo kami mahsoos huwa krti thi wo guzishta teen chaar kawishon main bilkul nazar nahi aarahi... bayintaha tarannum or lahja aamad horaha hay... zain jaani boht boht saari daad itni achi ghazal kay liye
bahot shukriya Zubair,is qadar pazeeraayi ke liye,tumaari aara hamesha hi bahot hosala deti hai,aor mazeed achha likhney ki tehreek paida karti hai,
arrey yaar,kiyoon mazaaq kartey ho,yeh ghazal to bahot puraani hai,balke jab baaqaaida wazn main likhna shuru kiya tha,tab ki hai,aaj kal to jam.ood taari hai,alfaaz naraaz haiN,aor khayalaat muntashir.
beharhaal,bahot khush rahiye,aabaad rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Adaab!
dil shakastgi ko ab, tum chupayo gey kaisay?
raaz khul gaya sara, Zain larkhranay say.
bohat he umda shair hai!
overall, sari ghazal he bohat khoob hai!