wahhhh.. bohat khoob.. bari achi ghazal kahi .. pasand aayee.. dhairo'n daad qabool kijiye.. aur dil ki shikastgi to suna hai .. magar dil shikastgi nahi .. kya ye waqai mustamil hai.. ? ilm mein izafa farma ker Shukria ka moqa dijiye..Nawazish..
wafa aur dua ke saath
withlove
bahot shukriya bhahi is hosala afzaayi ke liye,
dilshikasta..........faarsi ka lafz hai,aor sifft hai,.....aor is ke maeni... ranjeeda,afsurda,mayoos,...ke haiN,.......dil shikastgi ko main ne ..maayoosi ...ke manoN main istamaal kiya hai,aor merey khayaal main is main kuchh harj naheen,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN