Ustad Sahab please, kaise baatein ker rahey hein aap? aap tou MASHAALLAH, itnay samjhdaar aur suljhay huay insan hein phir bhi aise baatein ker rahey hein
yeh bilkul aap ko suite nahi kerta.
waisay pata hai, jab koi aise baatein kerta hai tou hamara mood leacture denay ka ho jaata hai
zindagi mein onch neech kahan nahi hoti?
sir beleive me, ALLAH(SWT) ka karam hai kay mujhe koi pershani nahi hai. magar fitrat aise hai kay choti choti baaton per tense ho jaati hoon
lekin baad mein yeh souch ker hansi aati hai kay is duniya mein her cheez he aarzi hai, woh gham ho khushi ho ya phir life itself.
mein na tou poet hoon aur na he writer, kabhi jo bhi lafz likhti hoon bay-shak dil say likhti hoon, ise liyey samjh sakti hoon kay aap nay kitni mohabbat aur lagan say yeh sab likha ho ga.
lekin, mohabbat aur lagan itni kamzoor cheezein nahi jo faraib kay pathar say tout jayen. aur apna aur apno ka bharam nahi tortay janab, halaat kaisay he kyon na hon
khush rahiye, aur achay ki ummid rakhiye