meray dil ne kaha mai unn chezoan se mohabbat karon jinn se dosray logg nafrat kartay hain aur unn logon se dosti paida karoon jinhain dunya malamat karti hai.
mery dil ne mujhey aagah kiya aur naseehat ki k soorat-o-rang k pardoon mai husnn ko talash karoon.haan mery dil ne mujh se mutalbha kiya k har uss cheez purr apni nighain jamdoon jo badnuma khayal ki jati hai.yahan tuk k wo khubsoorat nazar anay lagy.iss se pehlay mujhy husnn dhooain k satoonoo k mabain aik jihlmilati hui shama dikhae deta tha magar ab dhooan gayab ho chuka hai aur ab mai shama ki loo k siwa aur kuch nahi dekhta.
mery dil ne kaha mai zyada tareef se khud pasand aur malamt k khoof se azardah khatir na hon.uss din tuk mujhy apni saent garri k mutailq shooba tha lakin ab mujhey ye pata chala hai k darahkt mousam bhar mai shagoofy peda karty hain.garmiyoon k mousam mai phaal latay hen aur khazan mai apny patay girra kar sardiyoon mai bilkul aaryan ho jaty hen aur un k dil mai na masrat peda hoti hai aur na khoof aur sharam
(Khalil Jibran)