Agar me aaj 50 sal pahlay ja sakta hota
To eis zamanay(2009) ka haal bataya hota
Dunya mae mairay nam ka charcha hota
Bush bhi mairay dar ka bhikari hota
Mainay apnay darwazay per darban bithaya hota
Her sham ko diya aur loban jalaya hota
Log kahaingay eik jawan baba aaya hae
Apnay sath eik jaduee chiragh laya hae
Jok der jok log aayaingay sifa Panay ke liyae
Apnay karobar mae barkat v nafa panay ke liyae
Ladkiyan bhi aayainig humsafar Panay ke liyae
Apnay khayalon ka hum-khayal Panay ke liyae
Mujh per bhi Kisi hasina ne doray dalay hotae
Apnee qatil nazron se jal mae phasaya hota
Bush ki chungal se taliban ko bachaya hota
Shahr-e baghdad ko bumbari se bachaya hota
Koi kahta mae apni biwi se aaya hun tung
Roz her bat per tayyar hae karnay ko jung
Baba mujhe koi tawiz do oos per ghalib aajavoon
Ya kisi dusari biwi ka talib ho javoon
Rusvat leta hae darban bhi baba se milanay ke liyae
Voh bhi nim-baba bun Gaya hae mal bananay keliyae
Yeh char din ki zindgi hae shab v roz ki ayyari
Zaroorat hae karlain hum aakhirat ki tayyari