-
~!~ ilm ~!~
Ilm aur takabar eak sat nahain chal saktay. Yah zeast kay doo alag rastay hain. eak gomrahi ki taraf to dusra aaghi ki taraf lay jata hai. Yah eak nadi kay doo kinaray nahain hain.
Ilm; enksar, burd’bari, tahamal, dargozar dua-o-sakha aesi nimatoon say sarfaraz karta hai. Jabkah takabar, aqal par la'yaeneat aur bay’manevat ki sangbari karta hai. Aqal par hosh mandi kay tamaam darvazay band kar dayta hai.
Ilm, tameez-o-emteyaz aesay wasaf say navazta hai.
Takabar cheenta hai aur kameo ka Sasi Fas bana kar rakh deta hai. Yahhi nahain eshrat ki bhool bhalioon main gom kar dayta hai. Es taptay raygastan main tanhae kay seva kuch dekhnay ko nahain milta. Haan chand mafad’parast hasiya’bardar mojood rehtay hain jo gaflat ki neand say bay'dar nahain honay daytay.
Ilm ki havas fareshtoon ko sajda par majboor kar deti hai. Takabar hamesha sharminda-o-darmanda rakhta hai.
Ilm kay daman main 100% hai es kay bar’aks takabar kay khisay main -0 bhi nahain. Ilm aadab-e-hayaat aur aadab-e-bandgi kay sekhata hai.
Takabr jumla aadab say mahroon-o-tahi kar deta hai.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules