hai ghazab ka khumar juto'n ka
waar ik aur baar juto'n ka

jan e mann sunn abhi tau baqi hai
saamna... be-shumar juto'n ka

be'basi inteha ki thi lekin....
chal gaya ikhteyar juto'n ka

aisey ghatiya k sarr pe kyu'n maara
kyu'n ghataya waqar juto'n ka

sarey aalam k media par abb
charh chuka hai bukhar juto'n ka

pyar ka apna apna hai andaz
ham jatate hain pyar juto'n ka

saarey business hain aaj_kal thandey
garm hai karobaar juto'n ka

ai zamane k baaqi fir_ono'n
kijiyo intezar juto'n ka