phir mohabbat hai kiya darhaqeeqat/....
mujhe nahi maloum
lekin mein sirf yeh kehti hoon k mohabbat faqt mohabbat hai aur is ko jan'nay k liyey "MOHABBAT" kerna zaroori hai mohabbat "PANA" nahi
is ka wajoooooooood q zaroori hai????
ALLAH(SWT) ko apnay bando say mohabbat hai is liyey is ka wajoud zaroori hai. kyon k yeh aap ko insaniyat ki mairja tak lay ker jaati hai. adam say hasti tak. admi say insan tak
her relation mein is ki bohat importnce q hai hijaab..
kyon k is ka ilawa koi shay aise hai he nahi jo aap ko us insan k saath saath ALLAH(SWT) ki nazar mein mau'atbar karay. sirf mohabbat he hai jo aap agar kertey hein tou aap ko bhi sukoon milta hai aur dosra insan bhi aap say khush hota hai. shart sirf yeh hai k mohabbat gharz say pak ho
mohabbat tau bs mohabbat hai..jo kisi se bhi ho sakti hai..han us ko bhi mohabbat ho ye alug baat hai..lekin phir mohabbat k da'way q karty hain log?????
"ghalat kertey hein, mujhe her insan k moun say mohabbat ka lafz sun'na na-pasand hai kyon k jo jantay nahi mohabbat kia hai woh bhi isay kernay ka dawa kertey hein. unhein rouka nahi jaa sakta lekin unhein ignore kiya jaa sakta hai:
agar saath nahi nibhaana hota tau kuch dair tak r kuch door tak q chalty hain????????????
aap ki mohabbat ka jo stage hai usay mein nahi jaanti
kyon k aap ko shyd jin say wafa aur mohabbat ki ummid thi un say aap ko mili nahi.
aik bacha bhi routa hai jab usay apna pasandeeda khilona nahi milta aur mohabbat tou bohat agay ki baat hai. talab her insan mein hoti hai aur jis nay aap say wafa ka wada kiya ho aur phir wafa na ki ho, dukh hota hai insan ko. mein yeh nahi kehti k aap apni feelings badal lein ya phir mohabat k rukh kise aur janib mour dein. lekin mere khiyal tou yeh hai k agar woh insan aap say dour reh ker bhi khuch hai tou aap ko dukhi honay ka koi haq nahi. "AGAR" mohabbat hai tou aap ko bhi khush hona chaiye.