is say pehlay k baat ka rukh badal ja'ay aur hum idhar udhar ho jayen, soucha yahan per apna point clear ker doun takay baad mein explanation na deni parein
Rano ki thread mein Serious T. nay aik bohat achi baat ki k zindagi k her aspect k baray mein her insan ki apni souch aur approach hoti hai aur lazmi nahi k dosray us k saath agree karein aur sab apnay aap ko sahi sabit kernay mein lagay hein lekin kon sahi hai yeh koi nahi janta
baat mohabbat ki aa'ay tou mere khiyal mein is per sadiyon lambi baat ho sakti hai.
mohabbat ka asal aik khubsurat, pakeeza aur khush-kun ahesas hai jo aap ki life ko khubsurat banata hai.
ab yeh mohabbat aap ko kaisay milti hai yeh aap ki kismat per depend kerta hai.
normally jin logon ko bhi mein nay dekha hai woh is mein pershan aur udas he dekhey hein.
'jis ko bhi dekha rotay huey dekha
mohabbat kise faqeer ki bad-dua lagti hai.'
bay-gharz mohabbat kerna bohat ziada mushkil hai. insani fitrat mein yeh baat hai k jab woh kuch deta hai tou badlay mein kuch ummid bhi rakhta hai. aur jab mohabbat mein aap apna aap kise pe waar dein tou yaqeenan aap chahtay hein ka agla banda aap ki qadar karay aur chahay, is mein koi harj nahi.
kuch mohabbatein yak-tarfa hoti hein jo waqeye he takleef deti hein aur jo dono taraf say hon woh khushi deti hein lekin agar woh aap ko na milay tou udas ho jaata hai banda.
tou baat sari yeh hai k insan ko jo cheez jaisay milti hai us ka reaction us ki taraf waisa he hota hai. mohabbat mein agar khushi milay tou mohabbat khubsurat hai aur agar dukh tou mohabbat dard hai.
lekin hamein koshish kerni chaiye k hum is k asal ko samjhein, mana is ko pehchana mushkil hai, magar koshish kerni chaiye.