Page 5 of 14 FirstFirst ... 34567 ... LastLast
Results 41 to 50 of 135

Thread: Arslan ...

  1. #41
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    oyeeeeeeeeee
    lazmi tey naye o e sada haal howay jehra tera ae mere yaar
    kadi lafz tey kadi galan hour hondiyan ney

    gal dus dein get fir kadi
    ajey khud wi na-waqif aan

    her aik liyey mohabbat ka ahesas aik jaisa hota hai magar ...........(kuch) alag hota hai

    urdu me karo baat

    kuch samajh nahi aaying

    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  2. #42
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by SeRiOuS ThOugHts View Post

  3. #43
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    is say pehlay k baat ka rukh badal ja'ay aur hum idhar udhar ho jayen, soucha yahan per apna point clear ker doun takay baad mein explanation na deni parein
    Rano ki thread mein Serious T. nay aik bohat achi baat ki k zindagi k her aspect k baray mein her insan ki apni souch aur approach hoti hai aur lazmi nahi k dosray us k saath agree karein aur sab apnay aap ko sahi sabit kernay mein lagay hein lekin kon sahi hai yeh koi nahi janta
    baat mohabbat ki aa'ay tou mere khiyal mein is per sadiyon lambi baat ho sakti hai.
    mohabbat ka asal aik khubsurat, pakeeza aur khush-kun ahesas hai jo aap ki life ko khubsurat banata hai.
    ab yeh mohabbat aap ko kaisay milti hai yeh aap ki kismat per depend kerta hai.
    normally jin logon ko bhi mein nay dekha hai woh is mein pershan aur udas he dekhey hein.
    'jis ko bhi dekha rotay huey dekha
    mohabbat kise faqeer ki bad-dua lagti hai.'
    bay-gharz mohabbat kerna bohat ziada mushkil hai. insani fitrat mein yeh baat hai k jab woh kuch deta hai tou badlay mein kuch ummid bhi rakhta hai. aur jab mohabbat mein aap apna aap kise pe waar dein tou yaqeenan aap chahtay hein ka agla banda aap ki qadar karay aur chahay, is mein koi harj nahi.
    kuch mohabbatein yak-tarfa hoti hein jo waqeye he takleef deti hein aur jo dono taraf say hon woh khushi deti hein lekin agar woh aap ko na milay tou udas ho jaata hai banda.
    tou baat sari yeh hai k insan ko jo cheez jaisay milti hai us ka reaction us ki taraf waisa he hota hai. mohabbat mein agar khushi milay tou mohabbat khubsurat hai aur agar dukh tou mohabbat dard hai.

    lekin hamein koshish kerni chaiye k hum is k asal ko samjhein, mana is ko pehchana mushkil hai, magar koshish kerni chaiye.

    "ho chala jab yaqeen
    woh muqadar mein nahi
    tou chour di justajo
    magar us ko chahna choura nahi
    k mohabbat tajarat nahi"


    sab khush rahiye, aik dosray ko samjhiye aur samjjhaa'iye



    yaar Naz.. ye profile me is ne apney age 10 saal kum batai hai

    buhut khubsurat baaten keen hain Hijab.. tareef ke lye bhi alfazon ki zarurat hoti hai .. kum parng

    khush raho hamesha
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  4. #44
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by naz View Post
    Yaaaaaaaaaaaaaaaar
    mera dimag ku ghouma rahe hai
    kis qadar hasseen baat ki na ...
    maza agaya yaar
    aik aik lafz hasen hai ...
    Mohabbat hoti he aise hai

    meri bhi bilkul yehe soch hai Mohabbat ke bare main...
    abay sach.. MK me ronaq lagi hai
    maza aagaya
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  5. #45
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Arslan View Post
    naaaaaaaaz...

    me hamesha tau esa nahi rehta...

    hijaab ne jo kuch bhi kaha hai wo harf ba harf theek hai../.

    lekin agar ap kisi ko beinteha chahty hon r return mein ap ko zara bhi pyar na mily un logon se..jo ap se pyar karne ka dam bharty hain..us situation mein kiya kar sakty hain aap?????????

    dukh hota hai na..dil bhi dukhta hai

    mohabbat aik khoonsoorat ehsaas hai..lekin aaj kul jo trend chal nikla hai wo kahin ziada mohabbat ko pamaal kar raha hai..

    mohabbat aag ki soorat

    trend chal nikla hai to logon ki kharabi hai na dost
    muhabbat kahan se aag ho gayee..
    kabhi parwanay ko dekha hai u ney .. hamesha roshni ke qareeb rehta hai .. halankey wo usey jalati hai .. parwana be gharz muhabbat ki misaal hai ..
    Maan ki muhabbat dekho.. beta/beti kaisay bhi hon.. kuch bhi karlen .. Maan kabhi return me kuch nahi chahti siwaye un ki khushi ke.. bari se bari ghalti muaaf kardeti hai ... ye begharz muhabbat ki inteha hai dunya me rehtey huye..
    Khuda ki apney bando se muhabbat ki baat karo to 70 maaon ke barabar .. jis ka andaza bhi nahi kar saktey hum..

    Dekhna chaho to har aan hai muhabbat wo nazr chahye bas
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  6. #46
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Silent Tears View Post
    Sahi Kaha Yaar Bilkul Sahi

    Berukhi Main Insan Zinda Jall Jaata Hai

    Such Kaha

    Mohobbat Aag Ki Soorat Hai

    Me samajh sakta hun ST... me guzar chuka hun is daldal sey merey dost.. lekin me kya karun agar meri muhabbat us ke lye khatam nahi hui aur barhti gayee us ki khushi chahta gaya .. aur khud ko waisa banadaala jaisa wo dekhna chahti thi... tujhe pata hai hua kya.. aakhir kaar jeet hui meri ..jis shakhsiyat ko muhabbat per zara bhi yaqeen na tha wo aaj mujh ko mujh se ziada chahti hai ..
    Maana qismat ka bhi haath hota ha lekin mehnat kabhi nahi choro.. naseeb badal bhi jatay hain .. Khuda meherban hai.. us ke dil ko badalna kya bari baat hai

    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  7. #47
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    please guye don't mind lekin jaisay aap log mohabbat ko define ker rahey hein mein aise mohabbat ko manti nahi.
    mein aap k seniments aur feelings ki qadar kerti hoon lekin mere nazdeek mohabbat k badlay mein mohabbat ka milna zaroori nahi hai.
    hum nay mohabbat k badlay na kabhi mangi mohabbat
    hum nay mohabbat tujh say sharton say paak ki hai.



    haan yaar.. thanks alot Hijab itna acha likhti ho ..
    warna i m the only male person here who is defending true LOVE
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  8. #48
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Silent Tears View Post
    Hum Ne Kahan Mohobbat Ke Badle Mohobbat Maangi Thi

    Sirf Wafa Un Se Na Ho Saki Jis Ka Dukh Seh Rahe Hain Bus



    Mohobbat Ko Koyi Bhi Define Nahin Kar Sakta

    Har Insan Apne Nazariye Se Sochta Hai

    Lekin Ek Baat Ye Bhi Such Hai

    Jis Pe Guzarti Hai Wo Jaanta Hai Ke Kiya Kiya Azaab Hain

    Aur Mind Waali Baat Hi Nahin

    Aap Ne Apna Point Diya Hai

    Lekin Hamara Point Is Ke Bar Aks Hai

    haan .. dekho ST yaar .. me samajh sakta hun is dard ko.. apney samney bht sey cases dekhey hain mai ne .. kuch apney qareebi doston me kuch ghairon me jin ke sath aisa hua.. aur har koi is situation me alag react karta hai ... Mai u ka dard shayd kum na kar sakun lekin bas arz ye hai ke kisi ke haath aaay barhakay wapis leleney se muhabbat ney u ko kaisey dard dya.. dard to us shakhs ne dya muhabbat ka naam use karke.. aisey hi logon ki wajah se muhabbat badnaam hai
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  9. #49
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Arslan View Post
    phir mohabbat hai kiya darhaqeeqat/....

    is ka wajoooooooood q zaroori hai????

    her relation mein is ki bohat importnce q hai hijaab..

    mohabbat tau bs mohabbat hai..jo kisi se bhi ho sakti hai..han us ko bhi mohabbat ho ye alug baat hai..lekin phir mohabbat k da'way q karty hain log?????

    agar saath nahi nibhaana hota tau kuch dair tak r kuch door tak q chalty hain????????????

    u ke lye bhi wohi sab jo ST ko uper kahan
    plz be positive guys
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  10. #50
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Arslan ...

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    phir mohabbat hai kiya darhaqeeqat/....
    mujhe nahi maloum
    lekin mein sirf yeh kehti hoon k mohabbat faqt mohabbat hai aur is ko jan'nay k liyey "MOHABBAT" kerna zaroori hai mohabbat "PANA" nahi

    is ka wajoooooooood q zaroori hai????
    ALLAH(SWT) ko apnay bando say mohabbat hai is liyey is ka wajoud zaroori hai. kyon k yeh aap ko insaniyat ki mairja tak lay ker jaati hai. adam say hasti tak. admi say insan tak

    her relation mein is ki bohat importnce q hai hijaab..
    kyon k is ka ilawa koi shay aise hai he nahi jo aap ko us insan k saath saath ALLAH(SWT) ki nazar mein mau'atbar karay. sirf mohabbat he hai jo aap agar kertey hein tou aap ko bhi sukoon milta hai aur dosra insan bhi aap say khush hota hai. shart sirf yeh hai k mohabbat gharz say pak ho

    mohabbat tau bs mohabbat hai..jo kisi se bhi ho sakti hai..han us ko bhi mohabbat ho ye alug baat hai..lekin phir mohabbat k da'way q karty hain log?????
    "ghalat kertey hein, mujhe her insan k moun say mohabbat ka lafz sun'na na-pasand hai kyon k jo jantay nahi mohabbat kia hai woh bhi isay kernay ka dawa kertey hein. unhein rouka nahi jaa sakta lekin unhein ignore kiya jaa sakta hai:

    agar saath nahi nibhaana hota tau kuch dair tak r kuch door tak q chalty hain????????????
    aap ki mohabbat ka jo stage hai usay mein nahi jaanti
    kyon k aap ko shyd jin say wafa aur mohabbat ki ummid thi un say aap ko mili nahi.
    aik bacha bhi routa hai jab usay apna pasandeeda khilona nahi milta aur mohabbat tou bohat agay ki baat hai. talab her insan mein hoti hai aur jis nay aap say wafa ka wada kiya ho aur phir wafa na ki ho, dukh hota hai insan ko. mein yeh nahi kehti k aap apni feelings badal lein ya phir mohabat k rukh kise aur janib mour dein. lekin mere khiyal tou yeh hai k agar woh insan aap say dour reh ker bhi khuch hai tou aap ko dukhi honay ka koi haq nahi. "AGAR" mohabbat hai tou aap ko bhi khush hona chaiye.

    Hijab .. kahan se laati ho ye sab.. u knw i wanted to say exactly what u just said..

    mind blasting
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



Page 5 of 14 FirstFirst ... 34567 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •