kabhi kabhi mujhe lagta hai k yeh jo meri baatein hein na bus alfaaz ki had tak theek hein. kuch log inhien bus jazbaati aur kitabi baatein samjhtey hon gey. in mein shyd unhein koi reality nazar na aati ho. mohabbat ko logon nay kaye pehloyon say dekha hai. yeh jaisay mili hai logon ko aisa he dekhtey hein isay. kabhi kabhi in lafzon mein woh baat sama he nahi paati jo mein kehna chahti hoon lekin phir bhi mujhe lagta hai mein sab keh rahi hoon. mohabbat ko lakhon logo nay describe kiya hai aur bohat acha kiya hai
mohabbat ko aaj tak mein nay kitabon mein he parha hai. jitnay logon ko bhi dekha woh mohabbat kernay ka dawa kertey hein lekin mujhe sirf 3, 4 log aisay milay jo mohabbat ko samjhtey hein.
mohabbat ho tou sakti hai, mohabbat mil nahi sakti
mohabbat k safar mein shart yeh hai
mukamil yeh safar honay na pa'ay.
logon kehtey hein kyon unhein chaha ja'ay, woh khud chahtey kyon nahi pay-panha
khoubusrat...