Page 3 of 7 FirstFirst 12345 ... LastLast
Results 21 to 30 of 61

Thread: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

  1. #21
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    shukriya
    ab tou aap bhi track per aa rahay hein
    achi baat kahi hai aap nay

  2. #22
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    kabhi kabhi mujhe lagta hai k yeh jo meri baatein hein na bus alfaaz ki had tak theek hein. kuch log inhien bus jazbaati aur kitabi baatein samjhtey hon gey. in mein shyd unhein koi reality nazar na aati ho. mohabbat ko logon nay kaye pehloyon say dekha hai. yeh jaisay mili hai logon ko aisa he dekhtey hein isay. kabhi kabhi in lafzon mein woh baat sama he nahi paati jo mein kehna chahti hoon lekin phir bhi mujhe lagta hai mein sab keh rahi hoon. mohabbat ko lakhon logo nay describe kiya hai aur bohat acha kiya hai
    mohabbat ko aaj tak mein nay kitabon mein he parha hai. jitnay logon ko bhi dekha woh mohabbat kernay ka dawa kertey hein lekin mujhe sirf 3, 4 log aisay milay jo mohabbat ko samjhtey hein.
    mohabbat ho tou sakti hai, mohabbat mil nahi sakti
    mohabbat k safar mein shart yeh hai
    mukamil yeh safar honay na pa'ay.

    logon kehtey hein kyon unhein chaha ja'ay, woh khud chahtey kyon nahi pay-panha

    khoubusrat...

  3. #23
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    aaj kal mohabbat k ilawa kise aur topic per likhna acha he nahi lagta. ji chahta hai sab jazbay aur ahsasat jo mohabbat k liyey mere dil mein her lamha panaptay hein unhein qalam-band ker doun. duniya ko apnay alfaz say muatar ker doun. jo likho woh faqt mohabbat per ho. us mohabbat per jo mujhe tum say hai. lekin majboori dekho mujhe woh alfaz miltey he nahi jo meri halat ko beyan ker sakein. mein mohabbat per jitna bhi likhon tashangi mit'ti he nahi.
    bohat mushkil hota hai
    jazbon ko zuban dena
    asan jana nahi hota
    chand satron mein sab keh lena
    lekin phir bhi mein koshsih tou ker sakti hoon na k mein kuch likh sako, kuch aisa jo tere dil ko chu ja'ay
    haan ab mein bus mohabbat per he likhon gi, faqt mohabbat per
    meri her tehreer ka unwan mohabbat hai
    k ab mere gird hisar mohabbat ka hai

    mashaAllah
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  4. #24
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    mohabbat mein pana he sab kuch nahi hota. mein yeh nahi kehti kise ki arzoo kerna ghalat hai balkay yeh arzo he tou miraj-e-mohabbat hai, lekin agar woh na milay tou phir bhi usay chahtay rehna he mohabbat hai. mujhe tumhein ALLAH(SWT) say mangna acha lagta hai lekin agar kabhi mujhe yeh lagay k tum mujhe nahi mil saktey tou meri duaon ka rukh badal jaata hai. dil bari shidat say yeh dua kerta hai k kabhi waqat ka taiz bahayo tumhein mere dil say dour na ker day. kabhi mausam ka taiz souraj tumahri mohabbat ko jhulsa na day, balkay tumhari mohabbat tou kise shama ki manid qatra qatra mujh mein behti ja'ay. her mausam mein mujhe tumhari yaad aa'ay. her dua ka markaz tum ho aur hamesha raho. dil mein kahi ana ka pouda na ugay. halaat kabhi aisay na hon k mein tum say bad-guman ho jayon.
    mein tumhein dil mein is taran basana chati hoon k kise aur ka dhkal na-mumkin ho ja'ay mere dil tak. haan yeh kuch sahi nahi lagta na, lekin kia karoun tumharay ilawa kise ko souchna he acha nahi lagta tou phir kise ko dil mein jagha dena kaisay mumkin hai?

    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  5. #25
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by naz View Post
    yaar
    superb
    or u na
    maine yeh sub likhna tha
    ab likha tu lage ga alfaz chori hogaye
    aj main kuch aisa he lkhne ka irada rakh ke aye thi
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  6. #26
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Arslan View Post
    pazeeraayi k liye alfaaz ka chunaayo nahi kar pa raha..

    sahi kaha bilkul
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  7. #27
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    mohabbat k safar mein kise mour per, kise rah per kabhi na kabhi udasi dar aati hai, jis ki wajh maloum nahi hoti, lekin bus udasi aa he jaati hai

    kuch na kehna chuup chup rehna
    yeh bhi aik udasi hai
    hans kay saray sadmay sehna
    yeh bhi aik udasi hai
    bethay bethay kho sa jana
    yoon hi dour khayalooM mein
    chaltay chlatay hanstay rehna
    yeh bhi aik udasi hai
    mar kay kankar lehrain ginna
    beth kay jheel kinaray per
    kuch loagon ka hai yeh kehna
    yeh bhi aik udasi hai

    ye bhi ek udasi hai

    dammmmnnn good
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  8. #28
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    mohabbat suraj ki taiz roshani nahi hoti jo ankhon ko chundehya deti hai. na he yeh sailab hoti hai jo aap ko baha deti hai. balkay yeh tou mehtaab ki roshni jaise hoti hai, thandi aur meethi. yeh tou shama jaise hoti hai jo qatra qatra aap mein phigalti hai. yeh tou amarbail ki taran hoti hai jo aap k wajoud ko ghair leti hai. yeh tou samandar ki mouj hoti hai jo waqfay waqfay say aati hai aur aap k wajoud ko chu jaati hai. aap ko yaad dilati hai k mein hoon tumharay saath kabhi na chour janay k liyey ley. mein tou barson say aisay he aati hoon aur aati rahoon gi.
    mohabbat kabhi tanha nahi chorti

    just wOw

    khush raho
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  9. #29
    Join Date
    Mar 2009
    Location
    USA
    Posts
    2,403
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    mein mohabbat per jab bhi kuch likhti hoon tou bina souchay samjhay likhti hoon. k is mein souchnay ki zarourat nahi parti. yeh koi aise shay nahi hai jis k liyey alfaz kam per jayen ya ahsasat kam per jayen. aap kalam uthayen tou rakhna bhool jatey hein aur alfaz kam nahi hotay. mere alfaz jab kise ko achay lagtey hein tou mujhe acha lagta hai kyon k woh insan mohabbat ko samjh raha hota hai. aur ab tou youn lagta hai k her insan mohabbat ko samjhay. yeh khawaish ban gaye hai k sab mohabbat k asal ko pehchaan lein. is ki khubsurti ko maan lein. isay woh maan dein jo yeh arsay say mang rahi hai. isay amar ker dein. isay phir say pakeeza bana dein. mujhe mohaabt per likha geya woh her lafz pasand hai jo mohabbat k asal per likha geya ho. mujhe mohabbt k baray mein baat kerna acha lagta hai. apnay khiyalat dosron k saath share kerna acha lagta hai. mein chahti hoon k mohabbat youn bas ja'ay mere andar k isay khud say nikal doun tou sab khasar ho. janti hoon mohabbat khush-naseeb loogon ko "chunti" hai lekin mein nay mohabbat ko khud apnay liya "chuna" hai. mujhe is beej ko pani dena hai. isay perwan charhana hai. mujhe isay woh dharakat banana hai jo mujhe her mausam k sardo-garam say bacha'ay.

    "mujhe mohabbat ko amar kerna hai"
    Buht acha karti ho ... buhut zarurat hai aisey logon ki Hijab jin ko muhabbat ka asl pata hai aur wo undaz-e-bayaan bhi jantay hain.. Mai kab se chahta tha kuch aisa silsila ho kuch ho jo chalta jaye Muhabbat per.. jis me log aaye views share karen .. apney experiences batayen.. kuch seekhen to hamay bhi kuch sikhayen.. constructive arguments hon.. aur tum ne us ki bunyaad daaldi hai.. Mujhe khud acha lagta hai muhabbat per guftugu karna .. raaat raat bhar .. din din bhar kar sakta hun.. bas kabhi kabhi apni baat samjhana buht dushwar hota hai samnay walay ko .. us waqt un logon ki zarurat parti hai jo baat ko asaan alfaz me bayan kar saken.. jo quality tum me hai.. Mai to tayyar hun is muhabbat ke karwaan ko jitni aagay le jaya ja sakay... Pyar ke maaray bhi aayen.. dil ke haaray bhi ayeen.. dhoka khaye huye bhi aayen.. zakhm uthay huye bhi aayen.. koi to jagah aisi ho jahan aakay zakhm-e-dil dikhayen.. Guarantee deta hun dil ko sukoon pohunchay ga Muhabbat ki is dil afroz guftugu ko sunkey..

    Loved ur comment 'me ne muhabbat ko apney lye chuna hai aur is beej ko paani dena hai'

    Aao muhabbat ko explore karen.. seekhen aur sikhlaayen
    Tujhe Bhula Diya..
    Phir Kyun Teri Yadon ne..
    Mujhe Rula Diya ..



  10. #30
    Arslan's Avatar
    Arslan is offline ĠǻИďД ЬãċĦǻ
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    ♥ ♥ ChaAnd K paAr♥ ♥
    Posts
    41,775
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    1314 Thread(s)
    Rep Power
    21474894

    Default Re: Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    koi me ko bhi seekha dy

    *~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*

    2m4ccw6 - Mohabbat, Faqt Mohabbat!

    *~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*

Page 3 of 7 FirstFirst 12345 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •