Acha Likha Hai Aap Ne
Thx 4 Sharing
aaj kal mohabbat k ilawa kise aur topic per likhna acha he nahi lagta. ji chahta hai sab jazbay aur ahsasat jo mohabbat k liyey mere dil mein her lamha panaptay hein unhein qalam-band ker doun. duniya ko apnay alfaz say muatar ker doun. jo likho woh faqt mohabbat per ho. us mohabbat per jo mujhe tum say hai. lekin majboori dekho mujhe woh alfaz miltey he nahi jo meri halat ko beyan ker sakein. mein mohabbat per jitna bhi likhon tashangi mit'ti he nahi.
bohat mushkil hota hai
jazbon ko zuban dena
asan jana nahi hota
chand satron mein sab keh lena
lekin phir bhi mein koshsih tou ker sakti hoon na k mein kuch likh sako, kuch aisa jo tere dil ko chu ja'ay
haan ab mein bus mohabbat per he likhon gi, faqt mohabbat per
meri her tehreer ka unwan mohabbat hai
k ab mere gird hisar mohabbat ka hai
Acha Likha Hai Aap Ne
Thx 4 Sharing
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
mohabbat mein pana he sab kuch nahi hota. mein yeh nahi kehti kise ki arzoo kerna ghalat hai balkay yeh arzo he tou miraj-e-mohabbat hai, lekin agar woh na milay tou phir bhi usay chahtay rehna he mohabbat hai. mujhe tumhein ALLAH(SWT) say mangna acha lagta hai lekin agar kabhi mujhe yeh lagay k tum mujhe nahi mil saktey tou meri duaon ka rukh badal jaata hai. dil bari shidat say yeh dua kerta hai k kabhi waqat ka taiz bahayo tumhein mere dil say dour na ker day. kabhi mausam ka taiz souraj tumahri mohabbat ko jhulsa na day, balkay tumhari mohabbat tou kise shama ki manid qatra qatra mujh mein behti ja'ay. her mausam mein mujhe tumhari yaad aa'ay. her dua ka markaz tum ho aur hamesha raho. dil mein kahi ana ka pouda na ugay. halaat kabhi aisay na hon k mein tum say bad-guman ho jayon.
mein tumhein dil mein is taran basana chati hoon k kise aur ka dhkal na-mumkin ho ja'ay mere dil tak. haan yeh kuch sahi nahi lagta na, lekin kia karoun tumharay ilawa kise ko souchna he acha nahi lagta tou phir kise ko dil mein jagha dena kaisay mumkin hai?
buht he acha likha hai hijab
khud likha hai
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
mujhe mohabbat sardiyon ki dhoop jaise lagti hai. aik he waqt mein tahndi, meethi aur garam. tamazat say bharpoor
yaar
superb
or u na
maine yeh sub likhna tha
ab likha tu lage ga alfaz chori hogaye
aj main kuch aisa he lkhne ka irada rakh ke aye thi
pazeeraayi k liye alfaaz ka chunaayo nahi kar pa raha..
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
*~*~*~*ღ*~*~*~**~*~*~*ღ*~*~*~*
mohabbat k safar mein kise mour per, kise rah per kabhi na kabhi udasi dar aati hai, jis ki wajh maloum nahi hoti, lekin bus udasi aa he jaati hai
kuch na kehna chuup chup rehna
yeh bhi aik udasi hai
hans kay saray sadmay sehna
yeh bhi aik udasi hai
bethay bethay kho sa jana
yoon hi dour khayalooM mein
chaltay chlatay hanstay rehna
yeh bhi aik udasi hai
mar kay kankar lehrain ginna
beth kay jheel kinaray per
kuch loagon ka hai yeh kehna
yeh bhi aik udasi hai
hmm udasi...
mohabbat suraj ki taiz roshani nahi hoti jo ankhon ko chundehya deti hai. na he yeh sailab hoti hai jo aap ko baha deti hai. balkay yeh tou mehtaab ki roshni jaise hoti hai, thandi aur meethi. yeh tou shama jaise hoti hai jo qatra qatra aap mein phigalti hai. yeh tou amarbail ki taran hoti hai jo aap k wajoud ko ghair leti hai. yeh tou samandar ki mouj hoti hai jo waqfay waqfay say aati hai aur aap k wajoud ko chu jaati hai. aap ko yaad dilati hai k mein hoon tumharay saath kabhi na chour janay k liyey ley. mein tou barson say aisay he aati hoon aur aati rahoon gi.
mohabbat kabhi tanha nahi chorti