Hijab
Mohabbat Main Lalchi Pun Ku Ajata Hai ?
lafz 'lalach' ya 'lalchi-pan' ka mohabbat mein koi wajoud he nahi hai. jis taran mohabbat mein ana, bay-hise, khud-garzi aur adawat ka koi kaam nahi hota, ise taran 'lalach' bhi mohabbat mein nahi hota.
is lafz ki definition he aur hai, is mein aap ko kuch panay ki khawaish hoti hai, bina kuch diyey aur aap us cheez ko bina us ka +, - samjhay lena chahtey hein.
jab k mohabbat mein lalach nahi balkay 'cha'hay janay ki chah' aur 'iqrar sun'nay ki talab' hoti hai. woh kehtey hein na k mohabbat ko hamesha iqrar ki zarourat hoti hai tou is taran jab aap kise say mohabbat kertey hein tou badlay mein mohabbat panay ki tamana khu-bakhud ho jaati hai, usay talab, chah, ummid, arzo, tamana tou keh saktey hein, lalach nahi.
Kiya Is Lalchi Pun Se Relations Main Farq Parta Hai ?
aur dosri baat k is taran rishtey mein kamzorri aa jaati hai tou mere khiyal mein yeh kamzoori tab aati hai jab aap ki 'talab' 'danay walay ki gunjaish say barh jaati' hai. ba-shak jo aap say mohabbat kerta hai us ka iqrar aap ko masroor kerta hai, lekin jab aap yeh expect karein k woh her waqat he izhar kerta rahay tou yeh kafi na-dani ki baat hai.
or zaida Bhot zaida Ki Chah Ku Hojati Hai ?
mohabbat k safar mein sharat yeh hai
mukamil yeh safar na honay pa'ay
chanay aur chahay janay ki khawaish fitri baat hai aur is mein hadein nahi hoti.
mohabbtein tou faqt intehayen mangti hein
mohabbaton mein bhala aitdal kia kerna
so, is ka iqrar kernay mein aur sun'nay mein koi mazaiqa nahi hai, lekin jab is ki 'talab' ki limits aa ja'ay tou na-dan dil ko samjhna zaroori hai.
Ya Is Lalach Ko Dosra Insan Qabool Karta Hai ?
wo Bhi Bina Bezar Hue ?
thak geya hoon mein kertey kertey yaad tujh ko
ab tujhey mein yaad ana chahta hoon
tou ji mohabbat mein jab banda equally committed hota hai aur dono taraf say contribution barabar ho tou is sheesha mein baal nahi aata
lekin jab aap karein kuch na aur mangey bohat tou phir us shakhs ka bezar hona koi anookhi baat nahi hai.
Her banda ka apna view hota hai aur woh mohabbat k liyey bhi sab alag alag appraoch rakhtey hein, lekin hamara tou yeh he kehna hai
"bus aik mohhabt kafi hai
baqi umar azafi hai"
yeh aik nazam bhi hai, quite self-explinetory
Muhabbat dukh nahin daiti
agar bay gharz ho jazba
agar manzil banay rasta
agar chahat kay parday mein
koi lalach na ho lipta
agar tum sonp do sab kuch
silay mein kuch nahin mango
agar soda na ho koi
Muhabbat bus Muhabbat ho
tu phir yeh sukh hi daiti hai
kabhi bhi dukh nahin daiti
Muhabbat dukh nahin daiti