Sukh usi ke sab huye, dukh sabhi mere liye uljhanen sulajh gayee'n, sab hisaab ho gaye
wahhh.. janab-e-ishtiaq.. kya hi kehnay.. tamam tar ghazal umdah ashaar liye.. lutf aa gaya.. maqta to khoob hi kaha.. mundarja bala shair eik mukamal takhleeq hai .. dhairo'n daad-o-mubarakbaad iss kamyabi ki nazr.. Bohat Nawazish..
wafa aur dua ke saath withlove
bahot shukriya bhahi ,is pazeeraayi ke liye,
wesey aap ghaaib kahaan ho aaj kal?
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
kiya kahnay hain zain jaani kiya baat hay tumhari... ik kiran mang kr wo aaftaab hogaiy..... mery khiyal se ye misra aisa hay kay is se aagay ghazal kiya parhi jaaiy... is misray ko sanbhal kr rakhna zain ji,,kuch share shanasi hay hamain,,ye her zuban zad e aam honay wala misra hay... kiya baat hay yaar tum khud is ghazal ko parho aik martaba meray kahnay se.... ye misra poori ghazal pr bhaari nazar aaiy ga...kiya kahnay hain yaar ik kiran maang kr wo aaftab hogaiy....wah wah..subhanAllah
be had mamnoon hoon Zubair bhahi,is pazeeraayi ke liye,
wesey kuchh ziyaada hi oonchaayi pe naheen bitha diya tum ne,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
bahot shukriya Rani,
aaj kal poet club main haazari bahot kam ho gayi hai aap ki,khaas tor se shaairy seekhiye thread main,sab theek hai na,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN