Mohabtain Kia Kia
aur jitna acha sawal hai, utna hi mushkil aur uljha hua...is key kai bahao ho saktay hain, kai jawab aik hi jawab mein samaiye hue, aur phir bhi jawab mukamal nahi ho pata.
Shaid iska aik hi Jawab dey paon mein...MOHABAT jab mohabat hai to kisi aur shae ki gunjaish kab aur kaise nikal pati hai is jazbey mein...Mohabbat ko mehsos kerne main umer bita daina kam mehsos hota hai kuja key itni fursat ho dil mein utaray gaye is pyaray jazbay ko rog ka naam ley ker daghdar kiya jaye.
Daikhain simple si baat hai, hum mohabbat ko mohabbat nahi bojh, lahasil, nakaam naam ki cheezon sey tashbeeh dainay lagain to mohabbat Rog, karb , azeat kism ki cheezon mein dhalti mehsoos hoti hai...
Humari zehni approach bas itni hi had tak ja pati hai k jo sunein us per thapa laga dein key haan jee, aisa hi hai...
Mohabbat meri nazr mein kiya hai...
Mohabbat meri nazr mein sab kuch hai...aur Har shae hai..
Kainat key wajood mein..Zaray zaray mein
Ibadat..
Qurb-e-Khudawand..
Khushi..
Sakoon..
Itminan-e-qalab..
Umeed, Ahsas..
Apni zaat ko fana key morr per daal ker dosri zaat ko tarjeeh dainay wala jazba , wo jazba jo ibadat sey mumaslat rakhta hai...ROG kaise ho sakta hai?
Shayr kehta hai, Mohabbat Uljha Uljha Tajurba hai, to mera manna hai k mohabbat aik pur-keif jazba hai...mohabat diloon mein chupkey sey noor berh diya janay wala jazba hai..jo jis ko "haqeeqat mein mil jaye" wo sab pa ley...aur is mein meri murad insani qurb ki nahi, bas us mohabat nami jazbey ki dil ki saltnant mein hukmarani hai..khoob mein gardish hai.
Mohabbat jin diloon mein baseera kerti hai, wo dil mohabat ko Rog kabhi nahi kehte hain, na mantay hain aur na hi sun saktay hain...!!
Mohabbat to mohabbat hai bas, diye aur daitay rehne ka naam, bin mangay, bin tolay....!!
[umm just an opinion.. i have no idea, what i just wrote, so bear it if it is worth doing so..
]