jaanoo
Qudrat Ullah Shahab ke shuhra afaq tasneef..."YA KHUDA"...jis k baray main jitna bhi kaha jay kum hai....yeh kitab un halat o waqyat ko bayan kernay k liay likhi gai hai jo jad-o-jehd-e-pakistan k doran musalmano ko der paish thay aur pakistan bannay k bad woh kin mushkilat say guzeray..Likhnay walay nay is khoobsorati say inhain bayan kiya hai k perhnay wala khud ko un muqamat per mehsoos kerta hai....ap dost jo bhi kitabon say shaghaf rakhtay hain woh isay zaroor perhain.....
.....
ab is kitab say aik iqtibas:
...
"Dafter band hai je is waqt...subha 8 bajay ana.."
"humaray pas koi kapra nahi hai..hum paalay say mer jain gay"
"koi nahi mertay..subha 8 bajay ana, han..dafter band hai is waqt.."
Dilshad nay aik bat phir iltija ke..store babu jhanjala gaya
"main kehta hun , chali jao seedhi terha, main bhi akhir insan hun, machin nahi hun, han , subha 8 bajay ana.."...aur phir woh narm-o-germ lihaf main suker ker shikwa ganay laga....
.......aay ashaaq gay wada ferda lay ker.....
..ab inhain dhoond chiragh-e-rukh-e-zeba lay ker..
..jun jun rat bheegti gai, serdi main izafa hota gaya aur rafta rafta yun mehsoos honay laga jaisay sari kaynat yakh basta ho gai ho..serd hava k jhonkay teer-o-nishter ke terha badan main lagtay thay..aur zameen ke nami zeher alood kanton ke terha jism main chubhti the..dada k pas aik kambal tha..is nay isay aadha neechay bicha ker mehmood aur zubaida ko sula diya tha aur adha in k ooper dal diya tha...woh khud aik patli se chadar oorhay zameen per laita hua kervatain badal raha tha..Dilshad k dant baj rahay thay...woh apni beti ko ooni kapray main lapait ker apnay senay say chimtay baithi the..kabhi woh lait jati the...kabhi uth baithti thi..kabhi khari ho ker ghoomnay lagti the..lekin her kervat, her pehlo, serdi ka aser saanp k zehar ke terha is ke hadiyon main serserata hua berh raha tha aur isay der lagta tha k shayad aglay lamhay woh baraf k tukray ke terha jam ker gir jay ge...
kuch dur agay aik javan aurat apnay jisam ke germi her mumkin terekay say apni 4 sala lerki k jism main muntaqil kernay ke koshish ker rahi the..is k pas na to kambal tha na lihaf, ne he koi chader, lerki ka saans ukhera ukhera sa tha..is k seenay main ghantian se baj rahi then..jaisay bohut dur, ufqi lakeer say peray, oonthon ka aik karvan kisi janat gum gashta ke talash main chala ja raha ho, chal ja raha ho, ravan ravan, davan davan....jaisay jaisay serdi berhti gai..lerki k seenay ke ghantiyan taiz ter hoti gain...us k sans main aik zabardast tanao a gaya jaisay zindagi aur maut k ferishtay us ke sans ke leri tham ker apas main rasa kashi ker rahay hon
....us ke man ghabra gai...be bas ho gai...la char ho gai....us nay kheray ho ker girdo paish ka jaiza liya...zameen per andheray ka siah kafan cherha hua tha..kabhi kabhi chand bhi apnay lihafon ke oot say jhank ker dekh laita tha...charon taraf sakoot pa ker wph aurat simat ker baith gai...is nay choron ke terha dazdeda nigahon say idher udher dekha aur holay holay jhijhaktay huay, shermatay shermatay is nay apnay kapray khol ker ipni thithri hui bemar bachi ko un main lapait diya...
Andheray main aik bijli se lehrai aur us javan aurat ka berhana jism kaynat k zeray zeray ko lalkarnay laga k dekho dekho ye lajavab sa'at beet na jay..tum nay arz-o-sama k bohut say raz dekhay hon gay..lekin tum is maan k berhana jism ko na bhool sako gay jis k kapron main is ke merti hui beti lipti peri ho aur bera sakht pala per raha ho aur store main germ kambal aur lihafon k dhair hon..aur store babu razai main lipta hua "shikva" ga raha ho aur..................
aurat ka uryan jism aik ghaliz gaali bun ker charon taraf cha gaya....ratke zulmat main ro sayahi ke kalak aur bhi zyada gehri ho gai...aasman per jo taray timitma rahay thay ankhain moond ker badlon ke oot main chup gay...chand bhi apnay lihafon k beech say jhank ker yeh nazara dekhnay ke taab na la saka aik ghanghor ghata jo asman per be pervai say bikheri hui the...simat simat ker akathi ho gai aur badalon ke palkon say motat motay ansoo girnay lagay...
Tap Tap Tap....Tap Tap Tap............
boondain baras rahi then...thathri hui hava ke sun sun siskiyon ke terha ahain bher rahi thein......."