GHAR BHI MERA MASJID
Karti hoon ibaadat main sada ghar mein khudah ki
Ghar bhi mera masjid se bhalaa kam toh nahin hai
Ghar hai mera khudah mera ibaadat bhi unki hai
Phir kyun na duaon se main apne ghar ko sajaon
Jis ghar mein wo rehta hai wahan sab to chale hain
Phir kyun na duaon sey mere ghar mein bulaoon..
Sajdey mein sadaa deti hoon awaaz khudah ko..
Ghar bhi mera masjid se bhala kam to nahin hai
Kehti hoon jo ghar mera hai woh bhi diya rab ne
Nemat hazaar di hai mere ghar mein bahut usne
Is ghar ko sajaana..yeh bhi ibaadat hai khudah ki
Pakeezah sada rakhna yeh nasihat hai khudah ki
Sajde mein sada karti hoon main shukr khudah ko
Ghar bhi mera masjid se bhala kam toh nahin hai