ay ishq na chair aa aa k humain, hum bhooley howoo.n ko yaad na kar
pehley hi bohat nashaad hain hum, tu aur humain nashaad na kar
qismat ka sitam hi kum nahi kuch, ye taza sitam ejaad na kar
yoon zulm na kar bedaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar
jis din sey miley hain donoo.n ka sab chain gaya aaraam gaya
chehroo.n sey bahaar_e subhu gaii, aankhoo.n sey faroogh_e shaam gaya
haathoo.n sey khushi ka jaam chuta, hontoo.n sey hansi ka naam gaya
ghumgee.n na bana , nashaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar
raatoo.n ko uth uth rotey hain, ro ro k dua;ain kartey hain
aankhoo.n main tasaw'er dill main khalish, sar dhuntey hain aahain bhartey hain
ay ishq ye kaisa rog laga, jeetey hain na zaalim martey hain
ye zulm tu ay jallad na kar
ay ishq humain barbaad na kar
ye rog laga hay jab sey humain, ranjeeda hoon main bemaar hay wo
har waqt tapish, har waqt khalish, be-khwaab hon main, bedaar hay wo
jeeney sey idhar bezaar hoon main, marney pe udher tayyar hay wo
aur zabt kahey faryaad na kar
aay ishq humain barbaad na kar
bedard zara insaaf to kar. is um'r main aur maghmoom hay wo
pholoo.n ki tarha nazuk hay abhi, taroo.n ki tarha masoom hay wo
ye husn_e sitam! ye ranj_e ghazab, majboor hoon main, mazloom hay wo
mazloom pe yoon bedaad na kar
aay ishq humain barbaad na kar
aay ishq Khudara dekh kahee.n, wo shokh hazee.n bad-naam na ho
wo mah_e laqa bad-naam na ho, wo zehra jabee.n bad-naam na ho
namoos ka us k paas rahey wo pardah nashee.n bad-naam na ho
us parda nashee.n ko yaad na kar
ay ishq humain bad-naam na kar
umeed ki jhooti jannat k, reh reh k na dikhla khwaab humain
Aainda k farzi ishrat k wadey sey na kar betaab humain
kehta hay zamana jis ko khsushi, aati nay nazar kumyaab humain
chor aisi khushi ko yaad na kar
ay ishq humain badbaad na kar
do din main eh'd_e tifli k, masoom zamane bhool gai
Aankhoo.n sey wo khushiyaa.n mit si gaee.n, lab ko wo tarane bhool gai
Un paak beheshti khwaboo.n k, dilchasp fasane bhool gai
in khwaboo.n sey yoon azaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar
aankhoo.n ko ye kiya aazar howa, har jazb_e nihaa.n per ro dena
Aahang_e tarab per jhuk jana aawaz_e fughaa.n per ro dena
barbat ki sada per ro dena, muzrib k bayaa.n per ro dena
ehsaas ko ghum bunyaad na kar
ay ishq humain barbaad na kar
jee chahta hay ik dosrey ko yoon aath peher hum yaad karain
aankhoo.n main basaaee.n khwaboo.n ko aur dill main khayal aabad karain
khilwat main bhi ho khiwat ka samaa.n wehdad ko doi sey shaad karain
ye aarzoe.n eejaad na kar
ay ishq humain bar baad na kar
.:.Sachii Dosti Community.:.