Bus aik baat izzat ki yeh thi ke profesor kehlaatey they. wo bhi colleeg se bahar. collge ke kaaghazoo'n mein ham faqat lecturer yani bolney wala ya majma laganey wala tha. wo bho honourary . khair phir bhi professory izzat-e-saadaat ka aik qareena to thi . barey aik roz sadar aur pareedi street se guzar hua aur professorpp'n ka ghol ka ghol naar aaya . kuch ne khaibar hotel aur noor jahan hotel par board laga rakhey they aur jinnaat ko taabe karty they . logoo'n ki bigri banaatey aur bani bigaartey they.
kuch ne khaaksaari ikhtyaar ki thi . ja baja foor paathoo'n par totoo'n ke pinjrey liye baithey they . faal nikaaltey they aur mohabbat , shadi , muqaddama , rozgaar , aur lailaaj beemaariyoo'n ke masayel hal kartey they.
lakin they sab professor . hamein bohat pashemani hui ke jo izzat aik totey ke pinjrey se bakhoobi hasil ho sakti thi , us ke liye nahaq 16 jamatein paas kien . waaldain ka ropya aur asstaza ka waqt zaaya kiya . khair ham to yeh dekh faarigh huye shataabi se . hamaray saath waley ab tak uss koocha ki bhool bhulayyoo'n mein bhatak rahey hain.