My Qst: Allah ka irshad hai
" Jis ne Mere Mehboob Ki Ata'at ki Us ne Asal main Meri Ata'at ki"
To bataye Rasool(SWWS) Ki Ata'at Kya hai?
Q. Muslims ka pahla QIBLA kon sa tha ???
kyamth yani hashar ka medan country SHAM main lagey ga
mostly yehi janty ya samjty hain k medan arfat main lagy ga per aisa nahi hai
Sham main ho ga kmyath ka medan.
u can check history
:BAIT UL MUQADAS: tha muslims ka pehla qibla
D T ur answer
Rasool jo bhi farmaty thy ya kernty thy or un ki khud ki poori life Quran ka practical
thi so un ki Ata at matlab sahi tareeqa or Quran ki Ata at hai
theek?
Nice Question DT Dear....
Rasool (s.a.w.) Ki Ita'at Ka Topic To Bahot Hi Long He...
Pehle ye bata du.. ita'at ka matlab he sirf or sirf unhi ki baat mani jaye
unke alawa koi bhi aap se kuchh kahe, chahe wo aap ke waleden ho aap ki biwi ho ya gehra dost ho,
Ya phir Kitne Bhi Bade Aalim ,Fazil, Molwi ,Mufti, or Allama hi kyu na ho
aap unki baat tab tak nahi maan sakte jab tak unki baat ALLAH ke RASOOL(s.a.w) ki batayi bato se milti na ho...for example
ek baar RASOOL (s.a.w.) ne Hazrat UMAR Bin KHATTAB (RAZI.) se puchha
Ae UMAR tum Mujh Se Kitni Mohabbat Karte Ho..HAZRAT UMAR (RAZI) ne kaha
Ae ALLAH ke RASOOL me aap ko apni jaan ke baad sabse zyada mohabbat Aap se karta hu.
(gor Karna )
ALLAH ke RASOOL (s.a.w.) ne jawab diya UMAR abhi tum Momin nahi huye
Hazrat UMAR (razi) Ne Foran Kaha Ae ALLAH ke RASOOL(s.a.w) ab me aap ko
apne maal , biwi bachhe yaha tak ki apni jaan se bhi jyada mohabbat karta hu....Phir ALLAH ke RASOOL (s.a.w) ne Kaha Ha Ab tum Momin ho...
(BUKHARI . MUSLIM)
In Short Ita'at se muraad sirf or sirf har pehlu me ALLAH ke RASOOL(s.a.w.) Ki Baat Mani Jaye
Ek or Hadith yaad aa rahi he
ALLAH ke RASOOL(s.a.w) ne farmaya Tum Me Ka Har Insaan Us Waqt Tak
MOMIN Nahi Ho Sakta jab tak Bila chu-chira kiye huye meri baat ko
tasleem na karle
so umeed he aap ita'at ka matlab samajh gaye honge..
JAZAKUMULLAH........