"wo jane se pehle aik din hostel mein phirti rahi thi. Wahan ki her cheez k sath us ki yaadein wabasta thin. Aisi yadein jnhein wo bhula dena chahti thi...
Sardion ki wo ratein jab us ne apni zindagi ko barzakh bante dekha tha.....
......Garmion ki wo ratein jab us ka jism barf ka toda ban jata tha....
Us k aansoo, Us k khawab us ki khawishein,,, sub ki qabrein yehin thin.....
Use yun lagta tha jese wo in qabron ki majwar ban chuki ho....
Is qabristan ne us k wajood ko kha lia tha...
Ab jab wo bahir nikalne ki koshish ker rahi thi to us ka poora wajood kat raha tha...."
~Imaan, Umeed or Mohabat~ (Umera Ahmed)
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
umdah