Bilkul Sahi
"Agar aik baat kehne k liye lafz na mil rahe hun to apni us baat ya jazbay per aik baar phir se ghour zaror kerna chahye..."
Wo in ka munh dekh ker reh gaya..."Wo meri zindagi ka hissa ban chuki hai, us k baghair mein apni zindagi ka tassawur nahin ker sakta."
"Insan sirf KHUDA k baghair nahin reh sakta, baqi her cheez k baghair raha ja sakta hai... chahe bohat thori dair k liye he sahi."
Wo qail nahin huwa magar sir jhuka ker khamosh raha...
"Jab tak insan ko pani nahin milta usey yunhi lagta hai k wo pyas se mar jaye ga...Magar pani ka ghoont bharte he wo doosri cheezon k baare mein sochne lagta hai phir usey yeh khayal bhi nahin aata k wo pyas se mar sakta tha."
Us ne sir utha ker Dr. Khursheed ko dekha...
"Magar log pyas se mar bhi jate hain"
"Nahin, pyas se nahin marte, marte to wo apne waqt pe hain or issi tarah jis tarah KHUDA chahta ha...magar dunia mein itni cheezein humari pyas ban jati hain k phir humein zinda rehte hueye bhi baar baar mout k tajarubay se guzarna parhta hai."
~Imaan, Umeed or Mohabat~ (Umera Ahmed)
Bilkul Sahi
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا