Aisi Hi Hai Zindagi
zindagi tanhaye k samundar mein ik jazeery ki see haisiiat rakhti hey.iss jazeery ki chataanain umeedon ka ropp dhaar leti heyn.is k darht khawab ban jaty hen.is k phool aman o sakoon ka namuuna heyn.isski nadiyan sarap e tishnigi hen.zindgi ik aisa jazeera hey jo dousry jazeeron se alag ho gya hey.hamari zindgi ik alag thalg ghr ki manid hey jo dousry logon k gharon se bilkul alaihda hey.yeh woh ghar hey jahan koi hamsaya andar jhank k nahi dekh sakta agar yeh ghar tareeqioun mein ghir gya ho tu tumhary hamsiay ka chiraagh is mein roshni nahi phaila sakta.agar iss ghar mein khany peeny ka saman khatm ho jaye tu tumhara hamsaaya tumhy kuch nahi dey sakta.agar yeh ghar shehra mein waqya hey tu tum isko dousry logon k baag mein nahi le k jaa sakty.agar yeh ghr kisi pahar ki chooti pe abad hey tu tum isy is wadi mein abaad nahi ker sakty jahan aur log b abaad hen.
Aisi Hi Hai Zindagi
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا