Ameen suma AMEEN
khuda karay k meri arz-e-pak per utray
wo fasl-e-gul jisay andesha-e-zawal na ho
yaha'n jo phool khilay, wo khila rahay berso'n
yaha'n khiza'n ko guzernay ki bhi majaal na ho
yaha'n jo sabza ugay wo hamesha sabz rahay
aur aisa sabz k jis ki koi misaal na ho
ghani ghatae'n yaha'n aisi barish bersae'n
k patharo'n se bhi ro'ydgi muhaal na ho
khuda karay k na khum ho ser-e-waqar-e- watan
aur is k husn ko tashweesh-e-maah-o-saal na ho
her ek fard ho tehzeeb-o-fann k ouj kamaal
koi malaal na ho kli khasta haal na ho
khuda karay k meray ik bhi hum-watan k liye
hayaat jurm na ho zindagi wabaal na ho
(Ameen)
Ameen suma AMEEN
Sum AMeen
zaberdast
Sum Aamen
/up
Wo Nigahain Juka Leta Hai Marnay Nahi Deta