Zindagi
Ham jinhein rasm-e-dua yaad nahin
Ham jinhein soz-e-mohabbat k siwa
Koi butt koi khuda yaad nahi
Aaiye arz guzaarein k nigaar-e-hasti
Zehr-e-imroz mein sheereeni-e-farda bhar de
Wo jinhein taab-e-giraaN-baari-e-ayyaam nahin
Un ki palkoN pe shab-o-roz ko halka kar de
Jin ki aankhon ko rukh-e-subha ka yaara bhi nahin
Un ki raatoN mein koi shammeiN munawwar kar de
Jin k qadmoN ko kisi raah ka sahaara bhi nahin
Un ki nazroN pe koi raah ujaagar kar de
Jin ka deeN peirvi-e-kizb-o-rayaa hai un ko
Himmat-e-kufr mile,jurrat-e-tehqeeq mile
Jin k sar muntazir-e-taigh-e-jafaa hain un ko
Dast-e-qaatil ko jHaTak dene ki tofeeq mile
Ishq ka sirr-e-nehaaN jaan tapaaN hai jis se
Aaj iqraar karein aur tapish miT jaaye
Harf-e-haq dil mein kHaTakta hai jo kaanTe ki tarha
Aaj izhaar karein aur khalish miT jaaye...
wick3d
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai
ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai
kare na jag me.n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai
ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai
sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai
lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai.
shaan
Hum Dekhain Gai
(Faiz Ahmed Faiz)
Hum dekhainge
Lazim hai ke hum bhi dekhainge
Hum dekhainge
Woh din ke jis ka wadah hai... Hum dekhainge
jo loh-e-azal pe likha hai... Hum dekhiange
Lazim hai ke hum bhi dekhaingai
Hum dekhaingai
Woh din ke jis ka wadah hai… Hum dekhaingai
Jo Loh-e-Azal pe likha hai… Hum dekhiangai
Jab Zulm-o-Sitam ke Kooh-e-Garan
Rooyi ki tarah udh jayengai
Hum Mehkoomon ke paoon tale
Yeh dharti ghadh ghadh ghadhke gi
Aur Ahl-e-Hakam ke saron per
Jab Bijli kadh kadh kadhke gi
Hum dekhaingai
Lazim hai ke hum bhi dekhaingai
Hum dekhaingai
Jab Arz-e-Khuda ke Kaabe sai
Sab butt uthwaye jayengai
Hum Ahl-e-Safa Mardood-e-Haram,
Masnad pe bithaaye jayengai
Sab taaj uchhale jayengai,
Sab takhat giray jayengai
Hum dekhaingai
Lazim hai ke hum bhi dekhaingai
Hum dekhaingai
Bas naam rahe ga Allah ka
Jo Gayab bhi hai Hazir bhi
Jo Manzar bhi hai Nazir bhi
Uthe ga haq ka nara
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Aur raaj kare gi Khalq-e-Khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Hum dekhaingai
Lazim hai ke hum bhi dekhainge
Hum dekhainge
Woh din ke jis ka wadah hai… Hm dekhainge
Jo Loh-e-Azal pe likha hai… Hum dekhiange.
Worthless
My Heart, My Traveler
Dil e man Musafir e man
Meray dil meray musafir
hua phir sey hukm sadir
k watan badar hon hum tum
dein gali gali sadain
karein rukh nagar nagar ka
ke suraagh koi paein
kisi yar e nama bar ka
har ik ajnabi sey poochein
jo pata tha apney ghar ka
sar e kooey nashenayan
hamein din sey raat karna
kabhi iss sey baat karna
kabhi us sey baat karna
tumhein kya kahoon key kya hey
shab e gham buri balaa hey
hamein yeh bhi tha ghaneemat
jo koi shumaar hota
hamein kya bura tha marna
agar eik baar hota
English translation:
My heart, my fellow traveler
It has been decreed again
That you and I be exiled,
go calling out in every street,
turn to every town.
To search for a clue
of a messenger from our Beloved.
To ask every stranger
the way back to our home.
In this town of unfamiliar folk
we drudge the day into the night
Talk to this stranger at times,
to that one at others.
How can I convey to you, my friend
how horrible is a night of lonliness *
It would suffice to me
if there were just some count
I would gladly welcome death
if it were to come but once.