-
Aks-e-khushboo hoon
Aks-e-khushboo hoon,
bikherne se na ruke koi
aur phir bikher jaoun tu
mujh ko na samete koi.
kaanp uthti hoon main yeh
soch ke tanhayii mein....
mere chehre pe tera naam
na perh le koi.
Jiss terha khawaab mere
hu gaye reeza, reeza,
iss terha se na kabhi
toot ke bikhre koi.
Main tu uss dinn se harasaan hoon
ke jab hukm mile...
khushk phooloon ko
kitaboon mein na rakhe koi.
Abb tu iss rah se woh shakhs
guzarta bhi nahi..
abb kis umeed pe darwaze se
jhanke koi.
Koi aahat, koi awaz,
koi chaap nahi,
dil ki ghaliyaan bari sunsaan hein
aaye koi............!
Parveen Shakir
-
Re: Aks-e-khushboo hoon
My most fav
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules